Haryana Birth Certificate Application Form :- Yadi aap apne bache ka janm praman patra online banvana chahte hain to aap bikul sahi post par hai, Yaha aap sabhi ke sath Haryana Janm Praman Patra online banane ka pura process share kiya gya hai. Aap sabhi ke jankari ke liye bata den ki Haryana government ne Janm Praman Patra (Birth Certificate) banvane ki prkriya online kar di hai. Haryana janm praman patra kaise banya ja sakta hai, Iski puri jankari is post me share ki gayi hai.
Jaisa ki aap sabhi jante honge ki Janm Praman Patra (Birth Certificate) bacche ke janm ke turant bad banaya jata hai. Yah janm praman patra State government dwara verify kiya jata hai. State government dwara di jane vali is Birth certificate me date of birth of child, date of birth, place of birth, name of parents, etc. darj hote hai.
Apply For Haryana Birth Certificate
Yah Janm Praman Patra bahut hi mahatvpurn hota hai. Jise bacche ke janm ke bad banaya jata hai. Yah janm praman patra sabhi jagah us bacche ki pahchan ya umar batane ka kaam karta hai.
Aap sabhi ke jankari ke liye yah bhi bata den ki Central Government ke Birth and Death Registration Act 1969 ”(RBD Act no. 1969) ke anusar ek vykati ke birth aur death ka registration karvana anivary hai.
Haryana State me bhi is Act ke tahat hi kisi bhi vyakti ka birth aur death registration karvya jata hai. To ab sabhi Haryana ke nagrik niche bataye gaye tarike ke anusar Birth cetificate ke liye apply kar sakte hai.
Haryana Birth Certificate – Details
Scheme Name | Haryana Birth Certificate |
Launched By | Haryana State Government |
Beneficiary | State’s People |
Department | e Disha |
Application Process | online |
Official Website | edisha.gov.in |
Usage of Birth Certificate Haryana
- School, colleges me admission lete vakt istemil kiya jata hai.
- Passport or drivers license or PAN apply karne ke liye.
- Ration Card me naam judvale ke liye
- Original residence certificate prapt karne ke liye
- Voter list me naam add karneke liye
- Haryana me apni pahchanki rup me upyog karne ke liye.
- State government ke schemes ka labh uthane ke liye.
Haryana Birth Certificate Documents
- Affidavit of the person’s place of birth, date and time
- Parental Marital Certificate
- Identity proof of parents
- Ration card
- mobile number
- Passport size photo
Steps To Apply For Haryana Birth Certificate
Haryana state ke jo bhi nagrik Janm Praman Patra (Birth Certificate) online banvana chahte hain, Ve niche diye gaye steps ko follow kar sakte hai :-
- Sabse pahle aapko e Disha ke official website @edisha.gov.in par jana hai.
- Ab vahan se aapko ” Download Forms & Instructions” ke link par click karna hai.
- Agle page par aapko “Birth Certificate” ka option dikhega, Us par click karen.
- Ab aapke samne ek birth certificate form pdf aa jaega.
- Ab aap us form ko download kar len, Aur us form ko acche se bhar den.
- Ab iske bad us form ko apne najdiki Block me jakar jama kar den.
Is prkar aap sabhi Haryana ke nagrik Janm Praman Patra (Birth Certificate) banvane ke liye avedan kar sakte hai. Iske bad aap e Disha Portal se “Status of Application” or “Verification of Certificate” kar sakte hai.
Yaha hamne Janm Praman Patra banvane ke liye puri prkriya share kiya hai. Yadi aapko abhi bhi isme koi pareshani ho rahi hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puchh sakte hai.