Jharkhand Rojgar Portal Online Registration :- Hello friends, Jharkhand government ne apne state ke berojgar yuvaon ko rojgar dhundhne me madad karne ke liye “Jharkhand Rojgar Portal” ki shuruat ki hai. Is portal ke jariye sabhi yuva rajya me nikali gayi sabhi rojgar, naukri ki khabar apne mobile me prapt kar sakte hai. Sabhi yuva apne education aur ability ke anusar yaha job search kar sakte hai.
Jharkhand me lagne vali Rojgar mela ke bare me bhi sabhi update berojgar yuva prapt kar sakte hai. Lekin sabse pahle aap sabhi Jharkand ke yuva ko is “Jharkhand Rojgar Portal” par online registration karna hoga. Isliye hamne aaj ke is post me Jharkhand government dwara shuru ki gayi is portal ke bare me sampurn janakari aur online registration karne ke liye step by step method share kiya hai.
Jharkhand Rojgar Portal Registration
Jaisa ki aap sabhi jante honge ki Jharkhand state me kitne berojgar yuvak hai, Is karan rojgar ki samsya dino v din badhti ja rahi hai. Abhi hal me Covid-19 ke karan berojgaro ki sankhya aur bhi jyada badh gayi hai. Inhi sab karno ko dekhte huye Jharkhand government ne “Jharkhand Rojgar Portal” ki shuruat ki hai. Is portal par online registration karke sabhi yuva rojgar ke bare me latest update prapt kar sakte hai.
Jharkhand state government ne un sabhi students aur youth ke liye “Rojgar Registration” shuru kiya hai, Jinki padhai puri ho chuki hai aur rojgar ki talash me lagu huye hai. Aise sabhi yuva is portal par registration karke Rojgar ke behtar avasar prapt kar sakte hai. Yaha niche hamne Jharkhand Rojgar portal par registration aur login ki puri prkriya share ki hai.
Jharkhand Rojgar Portal – Details
Scheme Name | Jharkhand Rojgar Registration |
Authority | Department of Labour Employment & Training |
Launched By | State Government |
Beneficiary | Unemployed youth of the state |
Objective | Providing employment opportunities to unemployed youth |
Registration Process | Online |
Category | Jharkhand Gov. Scheme |
Official Website | http://jharkhandrojgar.nic.in/ |
Jharkhand Rojgar Portal Online Registration
Aap sabhi Jharkhand ke yuva niche diye gaye steps ke madhyam se Jharkhand Rojgar Portal par online registration kar sakte hai :-
New Job Seeker Online Registration @ jharkhandrojghar.nic.in
- Sabse pahle aap Jharkhand Rojgar Portal @http://jharkhandrojgar.nic.in/ par visit karen.
- Iske home page par “New Job Seeker” par click kare.
- Iske baad aap Candidate Registration Wizard page par chale jaenge.
- Ab yaha aap Personal Details Section, Select the District, Exchange enter karen.
- Apna Aadhaar Number, First, Middle & Last Name enter karen.
- Iske baad Father Name, Date of Birth, Email ID, Mobile Number, Gender, Marital Status, Religion, Urban/Rural, Caste, Mother’s Name ityadi jankari enter karen.
- Iske bad apna Address Communication Section, Enter Address 1, Address 2, City, State, District, Post Office and Pin Code enter karen.
- Qualification Details me aap Level of Qualification, Exam Passed, Stream, Passing Year, and Add Percentage enter karen.
- Login karne ke liye User ID, Password, and Confirm Password prapt kare.
- I Agree button par click karen.
- Ab sabhi detail verify kare aur Submit Button par click karen.
Now Click on the Other Details tab on the top of the Registration Page.
Personal Information jaisi jankari bharne ke bad, Other Details section par click karen :-
- Ab aapko Experience Details Section me Enter the Sector, Experience Type, Name of the Employer, From and To Dates of Experience, Experience in Months, Post/Designation, NCO, Pay ye sabhi jankariya bharni hai.
- Ab aap physically disabled option me yes or no par click karen.
- Iske alava aap Additional Information Details Section, Enter the Expected Minimum Salary, Local Jobs (Rs per month) details bhar sakte hai.
- Ab aap Language Details Section me Select Language Type, Language and Proficiency choose karna hai.
- Check Boxes par click karen aur I Agree Section par click karen.
- Ab ant me apna details verify karen aur Submit Button par click kare.
Login on Jharkhand Employment Portal
- Ek bar jab aap Jharkhand Rojgar Portal par registration kar denge, Tab aapke paas user name aur id password hoga tab aap login kar sakte hai.
Update Your Mobile Number for Job Alerts
Aap apne mobile number par Jharkhand Job Alerts prapt karne ke liye niche bataye gaye tarike ke anusar update karen :-
- Sabse pahle Jharkhand portal @http://jharkhandrojgar.nic.in/ par visit kare.
- Iske home page par “Update Mobile” ke link par click karen.
- Ab aapkse kuch details mange jaenge, jise bhare.
- Sabhi details bharne ke baad, Submit button par click kar den.
Jharkhand Rojgar Mela List 2020 – Apply Now
Jharkhand government dwara nikali gayi Updated Rojgar Mela List niche dekh sakte hai :-
Name | Date |
---|---|
Giridh Employment Fair Recruitment | 16-12-2020 |
Simdega Employment Fair 2020 | 15-12-2020 & 21-12-2020 |
Contact Address
Name: Sri S. B. Jha Mobile No:9431352006 Email:sbjha.2010@rediffmail.com Designation :Assistant Director | Name: Sri Nilamber Prasad Mahto Mobile No:9470372491 Email: nilamber.5455@gmail.com Designation : Employment Officer |
Important Links For Jharkhand Rojgar Portal
Rojgar Registration | Click Here To Apply |
Update Mobile | Click Here |
Contact Number | Click Here |
Official Website | Click Here |
About Department of Labour Employment & Training
Jharkhand Employment Service works within the framework of Employment Exchanges (Compulsory Notification Of Vacancies) Act 1959.Day-to-day working of the Employment Exchanges in Jharkhand is within the administrative control of Directorate Of Employment & Training, Govt. Of Jharkhand.The Directorate has a network of 43 Employment Exchanges and 04 administrative offices in Jharkhand State.