Bihar Labour Card Registration 2021 :- Yadi aap Bihar state ke nagrik hai, Aur Bihar sarkar dwara shramik nagrikon ko diye ja rahe labh prapt karna chahte hai, To aap Bihar Labour Card ke liye online Registration kar sakte hai. Bihar sarkar ne Shramik registration ki prkriya fir se shuru kar di hai. Bihar ke sabhi kushal aur akushal shramik is portal par khud ko registerd kar sakte hai. Aap sabhi ghar baithe online mode me hi Bihar Labour Card banvane ke liye online registration kar sakte hai.
Bihar ke Labor resources department ne “Shramik Registration” fir se shuru kar diya hai. Aap sabhi Bihar rajya ke nagrik varsh 2021 ke liye Bihar Labour Card banva sakte hai. Aap sabhi Bihar ke nagrik is post me Bihar Labour Registration 2021 ke labh, registration prkriya aur isse majduron ko milne vale labh ke bare me vistar rup se jankari prapt kar sakte hai.
Bihar Labour Registration 2021
Bihar sarkar ne Corona Virus mahamari ke samay se apne rajya ke sabhi shramiko ko dhyan me rakhte huye vishesh rup se kai yojanao ki shuruat ki hai. Isi bich Bihar sarkar ne apne rajya ke Skill aur Unskilled yuvaon ke liye Shramik Registration shuru kar diya hai. Vah sabhi shramik jo “Labour Registration” karaenge, Unhe kendra aur rajya sarkar dwara shuru kiye gaye yojanao ka sidha labh milega.
Bihar sarkar ne hal me hi bataya tha ki Jin bhi shramikon ne Labour Card Registration kara chuke hai, Unhe sarkar mobile phone ke madhyam se kam ki jankari denge. In labour card ke madhyam se Bihar sarkar rajya me majduron ki sahi sankhya ka aankalan karke unke liye yojanao ki shuruat kar sakegi.
Bihar Labour Card Registration Portal – Detail
Article | Bihar Labour Portal |
Launched By | Department of Labour Resources |
Beneficiary | State workers |
Registration Process | Online/Offline |
Objective | To provide benefits of various government schemes to workers |
Category | Bihar Government Scheme |
Official Website | state.bihar.gov.in/ |
Bihar Labour Registration – Category
Bihar ke ye shramik Bihar Labour Registration kar sakte hai.
- Raj Mistri
- Raj Mistry’s Helper
- Painter
- The carpenter
- Blacksmith
- Electricians working in buildings
- Floor and floor repairman
- Gate grills and welding people
- Roller bran
- People who build roads, roads and dams
- Unskilled laborers working at railway lanes and airports
- Briquette making and stone breaking workers
Bihar Labour Registration 2021
Yadi aap Bihar me Bihar Labour Card ke liye registration karna chahte hai to, Aap niche diye gaye steps follow kare :-
- Sabse pahle aap श्रम संसाधन विभाग ke official website @state.bihar.gov.in par jaaen.
- Iske home page par “श्रमिक पंजीकरण” ke link par click karen.
- Is page par aapko “बिहार लेबर कार्ड रजिस्ट्रेशन” ka form dikhega.
- Is form me aapko ye sabhi jankari bharni hai.
- Name
- Father’s / Husband’s name
- Aadhar number
- Address
- date of birth
- Gender
- marital status
- mobile number
- Sabhi jankari bharne ke bad “Send OTP” par click karna hai.
- Ab aapke mobile number par ek OTP aayega.
- Aapko OTP enter karna hai, aur “Register” button par click karna hai.
Is prkar aapka Bihar Labour Card ke liye online mode me Registration pura ho jayega.
Yadi aap apne registration form me galti bhi kar dete hai to aap niche diye gaye link se apne form me sudhar kar sakte hai.
Important Links For Bihar Labour Card Registration
Bihar Labour Card | Click Here For Online Registration |
Official Website | Click Here |
Yah hamne Bihar government ki is scheme ke bare me jankari pradan ki hai. Aap apne mobile se ghar baithe Bihar Labour Card ke liye online registration kar sakte hai. Yadi aapko abhi bhi koi saval puchna hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puch sakte hai.