Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana Registration :- Hello friends, Bihar ke mukhyamantri Nitish Kumar dwara apne rajya ke berojgar yuvaon ke liye ek bahut hi achhi yojana ki shuruat ki gayi hai. Bihar ke mukhyamantri dwara shuru ki gayi is yojana ka naam “मुख्यमंत्री अनुसूचित जाति/अनुसूचित जनजाति/अति पिछड़ा वर्ग उद्यमी योजना (Udyami Yojana)” hai. Is yojana ki shuruat Bihar ke berojgar yuvaon ko aatmnirbhar (आत्मनिर्भर) banane ke liye ki gayi hai. Aaj ke is post me ham aapko Bihar Sarkar dwara shuru ki gayi is Udyami Yojana ke bare me janakari pradan karenge.
Bihar sarkar apne rajya ke berojgar yuvaon ke liye kai sare yojanaon ki shuruat kar rahi hai. Isi kram me Bihar sarkar ne “Mukhyamantri Udyami Yojana Bihar” ki shuruat ki hai. Is yojana ka udeshya yah hai ki sabhi padhe likhe berojgaron ko Self-employment (स्वरोजगार) ke liye prerit kar unhe udyami bana hai. Niche aapko is “Udyami Yojana” ki details janakri milegi, Jaise ki Steps of registration, eligibility and required documents ke bare me bataenge.
Bihar sarkar dwara apne rajya ke yuvaon ke ujjwal bhavishya ke liye kai sare yojanao ki shuruat ki ja rahi hai. Isi ke bich me schedule cast aur schedule tribe (अनुसूचित जाति तथा अनुसूचित जनजाति वर्ग) ke yuvaon ke liye aur vyaktio ko labh pahuchane ke liye Bihar sarkar ne “Mukhyamantri Udyami Yojana” ki shuruat ki hai. Is yojana ke tahat Rajya sarkar yuvaon ko Industry (उद्योग) ke kshetra me protsahit karegi.
Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana ke tahat sarkar sabhi berojgar yuvaon ko Self employ aur Industry (स्वरोजगार और उद्योगों) ki sthapna ke liye 10 Lakh Rupaye tak ka loan muhaiya karegi. Bihar ke Mukhyamantri Nitish Kumar ne is yojana ka budget 102 Crore rakha hai. Is Udyami yojana ke jariye rajya me berojgari khtm hogi aur sabhi yuva apna khud ka rojgar shuru kar payenge.
Scheme Name | Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana |
Launched By | Chief Minister Nitish Kumar |
Beneficiary | Unemployed Youth |
Objective | Motivating youth to self-employment |
Benefits | Make youth Entrepreneurs |
Registration Method | Online |
Category | Bihar Government Scheme |
Official Website | www.startup.bihar.gov.in |
Bihar sarkar ki is “Mukhyamantri Udyami Yojana” ka mukhya udeshya rajya me berojgaro ko self employed karna hai. Mukhyamantri Udyami Yojana ke jariye rajya ke andar hi chote chote industry ka vikas hoga. Isse pichle varg ke yuvaon ko aasani se rojgar mil sakega.
Yadi aap bhi Bihar Rajya ke yuva hai aur is “Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana” ka labh uthana chahte hai, To sabse pahle aapko iske liye online registration karna hoga. Jiski puri janakri aap sabhi ke sath niche share ki gayi hai.
Jaisa ki hamne aapko bataya ki Mukhyamantri Udyami Yojana ki incentive amount (प्रोत्साहन राशि) 10 Lakh Rupaya hai. Jiske bad jo bhi yuva is “Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana” ke tahat registration form bharta hai, Aur sarkar uska form accept kar leti hai to use 10 Lakh Rupaye ki incentice amount di jayegi. Is amount me 5 Lakh Rupaye anudan ke rup me aur jabki 5 Lakh Rupaye interest-free credit (ब्याज मुक्त ऋण) ke rup me diye jayenge, Jise yuva ko 84 Installments (84 किस्तों) me vapas karna hai.
Yadi aap bhi is Udyami Yojana ke tahat online mode me registration form bharna chahte hai, To Bihar Sarkar ke official website @www.startup.bihar.gov.in par jakar online form bharna hoga. Usse pahle aapko is yojana se related kuch aur jankari dete hai.
Yadi aap Bihar sarkar ke is Mukhyamantri Udyami Yojana ke tahat online registration karna chahte hai to aap niche diye gaye steps ko follow kare online registration form bhar sakte hai :-
Important Links For Udyami Yojana Registration
Udyami Yojana Registration | Click Here To Apply |
Official Website | Click Here |
Yaha hamne is yojana ki puri jankari pradan ki hai, Yadi aapko abhi bhi is yojana se sambandhit koi saval hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puchh sakte hai :-
MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 :- Hello Friends, Bhavnagar University B.Sc Sem 2 Result…
UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 :- Hello Friends, Rajasthan University (UNIRAJ) ne BA 2nd…
VKSU UG Admission 5th Merit List 2023 :- नमस्कार दोस्तों, बिहार की वीर कुंवर सिंह…
Puducherry Police Admit Card 2023:- Hello Friends, Puducherry Police ne Constable, Radio Technician & Deck…
जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन फॉर्म 2023 :- नमस्कार दोस्तों, यदि आप अपना खुद…
VKSU UG Admission 1st Merit List 2023:- नमस्कार दोस्तों, जिन छात्रों ने वीर कुंवर सिंह…