Sarkari Jankari

Covid Vaccine Certificate Correction: कोविड वैक्सीन सर्टिफिकेट में गलती सुधारने की पूरी जानकारी

Covid Vaccine Certificate Correction :– Hello Friends, Yadi aapne Covid Vaccine le liya hai, Aur iska Certificate download kar chuke hai, Lekin is certificate me aapse koi galti ho gayi hai, Jise aap sudhrna chahte hai, To aaj ke is post me aapko Covid Vaccine Certificate me sabhi prakar ki galti sudharne ki jankari diya hai. Aap sabhi nagrik Covid Vaccine Certificate Correction ki sabhi details niche share ki gayi hai.

Yadi aapne Covid Vaccine Certificate download kiya hai, Aur isme aapse koi galti ho gayi hai, To aap apne galti sudhar sakte hai. Aise bahut se nagrik hai, Jinka Covid Vaccine Certificate me Name, Date of birth, Age, Gender galat ho gaya hai, Jise sudharna aavashyak hai. Sabhi nagrik ke liye Covid Vaccine Certificate important hai, Kyunki yadi ve kahi travel karte hai, To yah ek Vaccination Certificate ke rup me kaam karta hai.

Covid Vaccine Certificate Correction

Covid Vaccine lene ke bad sabhi nagrik corona vaccination ka certificate download karna tha, Iske baad jyadatar logo ko yaha pata nahi hai ki ve online Covid Vaccine certificate correction online kaise download kar sakte hai. Aise me ham jante hai ki Covid vaccine certificate correction karne ke liye kai sare methods hai. Hamne is article me Covid vaccine certificate me galti sudharne ke liye sabhi details aap sabhi ke sath share kiya hai.

Aap sabhi nagrik Government-sponsored Apps ke jariye hi Covid Vaccine Certificate correction kar sakte hai. Niche hamne sabhi App ka direct link & step by step method share kiya hai. Covid vaccine certificate correction karne ke liye niche diye gaye sabhi details important hai.

Covid Vaccine Certificate Correction Details

Jab ham Covid Vaccine ke tahat vaccine lagvate hai, To hame ek Certificate prapt hota hai. Iske bad kaise cases samne aaye hai jisme is certificate me galtiya nikal rahi hai, Ise sahi karvana behad aavashyak hai.

  • Having a wrong name or spelling mistake.
  • Misprinting of the gender of man or woman,
  • Missing the date of birth of the person vaccinated
  • Mobile number etc.

Covid Vaccine Certificate Correction Process

Yadi aap Covid Vaccine Certificate Correction karna chahte hai, To aap ghar baithe hi online kisi bhi prkar ka correction kar sakte hai, Iske liye aapko niche diye gaye steps follow kar sakte hai :-

  • Sabse pahle aap Cowin ke Official website @www.covin.gov.in/home par visit kare.
  • Iske home page se Sign in button par click kare, Aur apne Register number se login kare.
  • Aapke Mobile number par OTP send kiya jayega, Jise aapke identity proof ho jayega.
  • Iske baad aapko “What is the issue” ke option par click karna hai.
  • Jiske baad aapko “Correction in certificate” ke option par click karna hai.
  • Iske bad ek new page open hoga, Jisme aap personal details change kar sakte hai.
  • Apna certificate correction karne ke bad, Submit kar den, Aur fir apna certificate download kar len.

Verify Your Covid Vaccine Certificate

Yadi aap apna Covid Vaccine Certificate Verify karna chahte hai, To niche diye gaye steps follow kare :-

  • Sabse pahle aap Cowin ke Official website @www.covin.gov.in/home par visit kare.
  • Iske home page se Sign in button par click kare, Aur apne Register number se login kare.
  • Aapke Mobile number par OTP send kiya jayega, Jise aapke identity proof ho jayega.
  • Iske baad aapko “Scan QR Code” ke option par click karna hai.
  • Iske bad aapke Computer/ Mobile camera se QR code ko scan kare.
  • QR Scan code karne ke bad, Aap “certificate successfully verified” ka option dikhega.
  • Iske bad aapka certificate verify ho jayega.

Aap sabhi nagrik upar bataye gaye steps ko follow karke, Covid Vaccine Certificate correction online kar sakte hai. Yaha hamne Covid Vaccine Certificate Umang App, Digilocker App, Aarogya Setu correction karne ke liye jankari share kiya hai.

Yadi aapko abhi isse related Covid Vaccine Certificate Correction ke bare me koi saval puchna hai, To aap niche comment box me apna saval puch sakte hai.

Leave a Comment