Sarkari Jankari

Covid Vaccine Certificate Download: कोविड वैक्सीन सर्टिफिकेट डाउनलोड की पूरी जानकारी

Covid Vaccine Certificate Download :- Hello Friends, India me sabhi 18 to 45 Years ke logo ko Covid Vaccine diya ja raha hai, Iski raftar bhi tej kar diya hai. Har ek din lakho logo ko Covid Vaccine diya ja raha hai. Yadi aapne bhi Covid Vaccine lagva liya hai, Lekin aapko Covid Vaccine Certificate nahi mila hai, To aap is article me bataye gaye tarike ke anusar Covid Vaccine Certificate download kar sakte hai.

Indian Government ne Covid vaccine certificate online download karne ke liye Umang App, Digilocker App, Aarogya Setu App ki madad liya hai. In sabhi App ke jariye sabhi nagrik apne Mobile number, Aadhar number, Reference ID, Beneficiary ID ke jariye Covid Vaccination Certificate online download kar sakte hai. Aap sabhi nagrik ke liye hamne in App ke jariye Covid vaccine certificate download karne ke bare me jankari diya hai.

Covid Vaccine Certificate Download

Covid Vaccine lene ke bad sabhi nagrik corona vaccination ka certificate download karna chahte hai, Isme me se jyadatar logo ko yaha pata nahi hai ki ve online Covid Vaccine certificate online kaise download kar sakte hai. Aise me ham jante hai ki Covid vaccine certificate download karne ke liye kai sare methods hai. Hamne is article me Covid vaccine certificate download karne ki sabhi details aap sabhi ke sath share kiya hai.

Aap sabhi nagrik Government-sponsored Apps ke jariye hi Covid Vaccine Certificate download kar sakte hai. Niche hamne sabhi App ka direct link & step by step method share kiya hai. Covid vaccine certificate download karne ke liye niche diye gaye sabhi details important hai.

Covid Vaccine Certificate Kya Hai?

Indian Government dwara diya jane vala Covid Vaccination Certificate ek praman patra hai, Jiski jarurat aapko kisi bhi time aa sakti hai. Yadi aap kisi country or state me travel karne vale hai, To aapke paas Covid Vaccine Certificate hona chahiye. Aap sabhi ko yah Certificate covid vaccine lagvane ke bad diya jayega. Aap sabhi nagrik ko yah Covid Vaccine Certificate online download karna hoga.

Covid Vaccine Certificate Kyu Jaruri Hai?

Aapke man me yah bhi saval uth sakta hai, Ki yah Covid Vaccine Certificate kyu jaruri hai. Yadi aapne vaccine lagva liya hai, To iska proof bhi hona chahiye, Isliye Indian Government ne sabhi vaccinated nagrikon ko Covid vaccine certificate muhaiya karvati hai. Aap sabhi nagriko ko yah Covid Vaccine Certificate online download karna hoga.

Yadi aap janna chahte hai, Ki Covid Vaccine Certificate kab aur kaha se download kar sakte hai, To iski sabhi jankari niche is article me di gayi haia.

Covid Vaccine Certificate Kab Download Kar Sakte Hai?

Covid Vaccine Certificate aapko vaccine lagvane ke 30 Minute ke andar hi mil jayega. Covid Vaccine lagvane ke bad aapke Mobile number par Registration number aayega, Jiske jariye aap apna Covid Vaccine Certificate download kar sakte hai. Aap sabhi nagrik Umang App, Digilocker App, Aarogya Setu App ki madad se Covid vaccine certificate download kar sakte hai.

Covid Vaccine Certificate Download- Cowin Website

Yadi aap Cowin Website se Covid Vaccine Certificate download karna chahte hai, To niche diye gaye steps follow kar sakte hai.

  • Sabse pahle aap Cowin ke Official website @www.covin.gov.in/home par visit kare.
  • Iske home page se Sign in button par click kare, Aur apne Register number se login kare.
  • Aapke Mobile number par OTP send kiya jayega, Jise aapke identity proof ho jayega.
  • Login karne ke bad, Aap vaccination date aur 2nd Vaccine date dekh sakte hai.
  • Ab vaha se “Certificate” button par click kare.
  • Download button par click kare, Aur aake screen par ek PDF open ho jayega.

Covid Vaccine Certificate Download- Umang App

Aap sabhi nagrik Umang App ke jariye bhi Covid vaccine certificate download kar sakte hai, Jiski jankari niche share ki gayi hai :-

  • Sabse pahle aap apne Mobile Phone me Umang App download kare.
  • App open kare aur “What’s New” button par click kare.
  • What’s New section ke andar aap ” Cowin” button par click kare.
  • Iske bad Aapke Mobile number par OTP send kiya jayega, Jise aapke identity proof ho jayega.
  • Login karne ke bad, Aap vaccination date aur 2nd Vaccine date dekh sakte hai.
  • Ab vaha se “Certificate” button par click kare.
  • Download button par click kare, Aur aake screen par ek PDF open ho jayega.

Aap sabhi nagrik upar bataye gaye steps ko follow karke, Covid Vaccine Certificate online download kar sakte hai. Yaha hamne Covid Vaccine Certificate Umang App, Digilocker App, Aarogya Setu download karne ke liye jankari share kiya hai.

Yadi aapko abhi isse related Covid Vaccine Certificate Download & Correction ke bare me koi saval puchna hai, To aap niche comment box me apna saval puch sakte hai.

Leave a Comment