Haryana Free Laptop Yojana 2021 Registration :- Hello Friends, Haryana ke Chief minister Manohar Laal Khattar ne apne state ke class 10th ke sabhi students ko Free Laptop dene ke liye ek yojana banaya hai. Iske liye government ne ek yojana bhi shuru kiya hai, Jiska naam hai “Haryana Free Laptop Yojana”. Is yojana ke antargat class 10th exam me 90% se above marks laane vale sabhi students ko free laptop diya jayega.
Haryana government dwara apne state ke sabhi students ke padhai ke prati protsahit karne ke liye yah “Free Laptop Yojana” shuru kiya gaya hai. Yadi aap Haryana state ke students hai, Aur is yojana ke bare me puri jankari prapt karna chahte hai to aap bilkul sahi jagah hai. Yaha aap sabhi student Free Laptop Yojana se related Benefits, objectives, features, eligibility, important documents, application process etc. ki jankari prapt kar sakte hai.
Haryana government dwara shuru ki gayi is “Free Laptop Vitran Yojana 2021” ke antargat Haryana ke un sabhi students ko free laptop pradan kiye jayenge jo Class 10th Exam me 90% above marks prapt karenge. Is free laptop yojana ka labh sirf unhi students ko milega, Jo k Haryana Government School me padhte hai.
Haryana ke sabhi students ko is “Free Laptop Yojana” ke tahat laptop prapt karne ke liye online registration karna hoga, Jiske bad yadi ve government dwara jari merit list me aayenge, To unhe yah laptop diya jayega. Aise sabhi students ko Haryana ke Deputy Commissioner ke dwara laptop pradan kiya jayega.
Haryana government is “Free Laptop Vitran Yojana” ke tahat 500 free laptop sabhi students ko degi. Yah sabhi laptop 5 alag alag category me students ko diya jayega. Is laptop ke jariye ve sabhi students online class kar sakenge, Aur higher education prapt karne ke liye laptop ki madad le sakte hai.
Scheme Name | Haryana Free Laptop Yojana |
State | Haryana |
Beneficiary | Haryana Students |
Objective | Providing free laptops to students |
Total No of Laptops | 500 Laptops |
Year | 2021 |
Haryana Free Laptop Yojana ke antargat Class 10th Result aane ke bad merit list me aane vale students ko free laptop pradan kiya jayega. Yah 500 Laptop ek function ka aayojan kar pradan kiya jayega. Is function ki suchna student ke government school ko di jayegi, Jiske bad vah school us student ko suchit karega. Jisse vah students laptop lene ke liye us function me shamil ho sake.
Yadi aap bhi Haryana Board ke class 10th ke student hai, Aur is free laptop yojana ka labh uthana chahte hain, To aap apne board exam me 90% se above marks prapt kare. Tab yah laptop aapko free me pradan kiya jayega Yaha hamne is yojana ki puri jankari pradan ki hai. Yadi aapke paas abhi bhi koi saval hai, To aap apna saval niche comment box me puchh sakte hai.
MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 :- Hello Friends, Bhavnagar University B.Sc Sem 2 Result…
UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 :- Hello Friends, Rajasthan University (UNIRAJ) ne BA 2nd…
VKSU UG Admission 5th Merit List 2023 :- नमस्कार दोस्तों, बिहार की वीर कुंवर सिंह…
Puducherry Police Admit Card 2023:- Hello Friends, Puducherry Police ne Constable, Radio Technician & Deck…
जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन फॉर्म 2023 :- नमस्कार दोस्तों, यदि आप अपना खुद…
VKSU UG Admission 1st Merit List 2023:- नमस्कार दोस्तों, जिन छात्रों ने वीर कुंवर सिंह…