Sarkari Yojna Hindi

Jharkhand Fasal Rahat Yojana 2020-21: Kisan Karj Mafi Online Registration

Jharkhand Fasal Rahat Yojana 2020-21 Registration :- Jharkhand sarkar ne apne rajya ke kisnao ki sthiti sudharne ke liye kai yojanaye chala rahi hai. Isi bich Jharkhand Sarkar ke Mukhyamantri “Hemant Soren” ne “Jharkhand Fasal Rahat Yojana / Kisan Karj Mafi Yojana” ki shuruat kar di hai. Ham sabhi jante hai ki prakritik aapdaon, vemousam barish ke karan sabhi kisano ko bhari nuksan uthna padta hai. In sabhi bato ko dhyan me rakhte huye Jharkhand Sarkar ne is yojana ki shuruaat ki hai.

Yadi aap Jharkhand Rajya ke kisan hai aur aapka fasal bhi ve mousam barish ke karan barbad ho chuka hai aur aap karj me dube huye hai to aapko ab ghabrane ki jarurat nahi hai. Aap sabhi kisan bhaiyo ke liye Jharkhand sarkar ne “Fasal Rahat Yojana / Kisan Karj Mafi Yojana” ki shuruat kar di hai. Is yojana ke tahat registration karne par aapko sarkar dwara kai labh pradan kiye jayenge. Aaj ham aapko Jharkhand sarkar ke is Kisan Karj Mafi Yojana ke bare me janakri pradan karenge.

Jharkhand Fasal Rahat Yojana – Kisan Karj Mafi Kya Hai?

Jharkhand Sarkar apne rajya ke aise kisano ke liye yah “Fasal Rahat Yojana – Kisan Karj Mafi Yojana” lekar aai hai, Jo ki kheti karne ke karan karj me dube huye hai. Jharkhand Is yojana ke tahat be prakritik aapda ke karan huye nuksan ki bharpai karne ke liye sarkar ke taraf se vah karj maf kar diya jayega. Is yojana ka labh uthane ke liye aise sabhi kisano ko apni fasal ka bima karvana hoga aur samay samay par premium ki rashi ka bhugtan karna hoga.

Jharkhand Kisan Karj Mafi Yojana ke antargat prakritik aapdayen jaise ki sukha padna, ola vrishti, ve mousam barish aur any aapdyaen shamil hain. In vajahon se agar kisano ko nuksan uthana padta hai, To sarkar is yojana ke jariye unki direct madad karegi. Is yojana ka labh sirf aavedan karne vale kisano ko hi milega. Jharkhand sarkar sirf aavedan karne vale kisnao ko hi is yojana ke jariye madad pahuchyegi.

Jharkhand Fasal Rahat Yojana – Details

Jharkhand Sarkar ne is “Fasal Rahat Yojana – Kisan Karj Mafi Yojana” ko lagu karne ke liye 100 Crore Rupaye ka budget bhi jari kar diya hai. Aur is yojana ka labh December 2020 se sabhi kisano ko diya jayega.

Scheme NameJharkhand Fasal Rahat Yojana
SchemeKisan Karj Mafi
Launched ByJharkhand CM – Hemant Soren
Beneficiary Jharkhand’s Farmer
ObjectiveTo provide financial assistance in case of crop loss.
Official WebsiteAvailable Soon
Year2020-21

Jharkhand Kisan Karj Mafi Yojana

Jharkhand sarkar ki is yojana ke jariye kisano ko unke loan se bhi mukti milegi. Ji han, Sarkar is yojana ke tahat aise sabhi kisano ke loan maaf karegi, Jinka fasal ve mousam barish ke karan barbad ho chuka hai. Is yojana ke liye total 2000 Crore Rupaye ka budget rakhya gaya hai. Sabse pahle is yojana ke tahat aise sabhi kisano ka data collect kiya jayega, Uske bad unhe is yojana ka labh diya jayega.

Jharkhand Fasal Rahat Yojana – Benefits & Features

  • Is yojana ki sabse pahli mukhya vishesta yah hai ki is yojana ke tahat prakritik aapdaon ke vajah se huye nuksan ki bharpai ki jayegi.
  • Yah yojana mukhya rup se “Pradhanmantri Fasal Bima Yojana” ke sthan par shuru ki jayegi.
  • Is yojana ke tahat kisano ki nuksan ki bharpai Bima Company dwara ki jayegi.
  • Jo bhi kisan is yoajan ke tahat labh uthana chahte hai, Ve is yojana ke tahat registration form bhar sakte hai.
  • Is yojana se prapt madad ke karan ve fir se kheti kar sakenge, Aur aatmnirbhar ban sakenge.
  • Is yojana ko lagu karne ke liye 100 Crore Rupaye ka budget rakha gaya hai.
  • Is yojana me kisano ko registration karne ke mad premium ki rashi ka bhugtan karna hoga.

Jharkhand Fasal Rahat Yojana – Required Documents

  • Farmer’s Aadhar Card
  • Farmer’s Ration Card
  • ID card
  • Bank account statement
  • residence certificate
  • Khasra number
  • paper / farm
  • account number
  • Passport size photo
  • phone number
  • income certificate

How To Apply For Jharkhand Fasal Rahat Yojana?

Aap sabhi ke jankarike liye bata den ki Jharkhand Fasal Rahat Yojana ke antargat aavedan karne ke liye filhal Jharkhand Sarkar ke taraf se koi bhi Online Official Website ki shuruat nahi ki gayi hai aur na hi koi registration prkriya shuru ki gayi hai.

Jharkhand sarkar ne yah bataya hai ki is Fasal Rahat Yojana ke liye registration December 2020 se shuru kar diya jayega. Ab Sarkar ke taraf se koi bhi update jari ki jati hai, To sabse pahle ham aapko uski jankari yaha is post me denge.

FAQ Related to Jharkhand Fasal Rahat Yojana

Q : झारखंड फसल राहत योजना क्या है?

Ans : झारखंड फसल राहत योजना के अंतर्गत किसानों को प्राकृतिक आपदा के कारण होने वाले नुकसान की भरपाई करने के लिए फसल के लिए बीमित राशि सरकार की तरफ से प्राप्त होती है.

Q : झारखंड फसल राहत योजना का लाभ कौन प्राप्त कर सकता है ?

Ans : झारखंड के मूल निवासी किसान.

Q : झारखंड फसल राहत योजना के लिए झारखंड सरकार ने कितना बजट निर्धारित किया है ?

Ans : 100 करोड़ रुपए

Q : झारखंड फसल राहत योजना का क्या उद्देश्य है ?

Ans : किसानों को प्राकृतिक आपदा से होने वाले नुकसान की वित्तीय भरपाई करना तथा उन्हें आत्मनिर्भर बनाना

.Q : झारखंड फसल राहत योजना के आधिकारिक वेबसाइट क्या है ?

Ans : अभी जारी नहीं हुई.

Q : झारखंड फसल राहत योजना में प्राकृतिक आपदा में हुए नुकसान की भरपाई के लिए राशि प्राप्त करने के लिए क्या करना होगा ?

Ans : योजना में पंजीकरण कराने के बाद प्रीमियम की राशि का भुगतान करना होगा.

kvsro

Recent Posts

MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 (Released): Check Bhavnagar University Results

MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 :- Hello Friends, Bhavnagar University B.Sc Sem 2 Result…

4 months ago

UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 (जारी): Check RU BA Part 2 Results

UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 :- Hello Friends, Rajasthan University (UNIRAJ) ne BA 2nd…

4 months ago

VKSU UG Admission 5th Merit List डाउनलोड करें @vksuonline.in

VKSU UG Admission 5th Merit List 2023 :- नमस्कार दोस्तों, बिहार की वीर कुंवर सिंह…

4 months ago

Puducherry Police Admit Card 2023 (Released): Constable Exam Call Letter

Puducherry Police Admit Card 2023:- Hello Friends, Puducherry Police ne Constable, Radio Technician & Deck…

4 months ago

जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन 2023 ऑनलाइन फॉर्म MSME/ Udyam Registration

जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन फॉर्म 2023 :- नमस्कार दोस्तों, यदि आप अपना खुद…

4 months ago

VKSU पार्ट 1 UG एडमिशन 1st Merit List 2023 | ऐसे करें डाउनलोड

VKSU UG Admission 1st Merit List 2023:- नमस्कार दोस्तों, जिन छात्रों ने वीर कुंवर सिंह…

4 months ago