JNV CLASS 6TH ADMISSION ONLINE FORM 2021: Hello Friends, Navoday Vidyalay me Class 6th me admission ke liye online form shuru ho chuka hai aur yadi aap bhi isme admission lene ko ichhuk hain to iska form online bhar sakte hain.
Ham yahan par JNV ADMISSION 2021 se judi har jankari de rahe hain taki aap aasaani se iska form bharkar iske exam me upasthit ho saken. JAWAHAR NAVODAY VIDYALAYA Yani JNV me 2021 me admision ke liye form bhrana shuru ho chuka hai. Iske liye online form iske official site navodaya.gov.in se bhara jayega. Iska direct link niche diya gya hai.
Aapko bata den ki JNV ADMISSION ke liye form bharne ka last date 15 December 2020 hai. To session 2021-22 me admission ke liye aap iska form bhar sakte hain.
JNV Class 6th Admission Form 2021
Aapko sabse pahle bata den ki iske liye exam 10 April ko liya jayega. Iski timing 11.30 se 1.30 baje tak hogi yani 2 ghante ka exam liya jayega jisme sirf objective prashn puchhe jayenge.
To iske liye form bharne ka direct link niche diya gya hai. To aap bhi yadi abhi class 5th me padhai kar rahe hain to iska form bharke JNV me admission le sakte hain.
Form Bharen Online >> https://navodaya.gov.in/nvs/en/Admission-JNVST/JNVST-class/
Form bharne ke liye direct link >> http://cbseitms.in/nvsregn/index.aspx
Form bharne ka last Date >> 15 Dec 2020