MP Kisan Anudan Yojana Registration :- Madhya Pradesh government ne apne state ke sabhi kisan bhaiyon ke liye “MP Kisan Anudan Scheme” ki shuruat ki hai. Is MP Kisan Anudan Yojana ke tahat Mukhyamantri dwara sabhi kisano ko krishi yantro par subsidy pradan karne ke udeshya se shuru ki gayi hai. Yadi aap bhi Madhya pradesh ke kisan hai, Aur is yojana ke jariye Krishi yantr kharidna chahte hai, To niche bataye gaye tarike ke anusar online registration form bhar sakte hai.
Jaisa ki ham sabhi jante hai ki hamara Bharat ek krishi pradhan desh hai aur yaha ki economy mukhy rup se krishi par hi aadharit hai. Isi ko dhyan me rakhte huye Madhya Pradesh government ne “MP Krishi Upkaran Subsidy Yojana” ki shuruat ki hai. Yaha is post me aap sabhi ke sath krishi upkaran subsidy registration form, eligibility criteria aur any jankariyan share ki hai.
Madhya pradesh government dwara shuru ki gayi “Krishi Upkaran Subsidy Yojana” ke antargat madhya pradesh ke sabhi patra kisano ko krishi upkaran kharidne ke liye 30% se lekar 50% tak ki subsidy rashi pradan ki jayegi. Jiske anusar is yojana ke tahat sabhi kisanon ko 40,000 se 60000 Rupaye tak ki subsidy pradan ki jayegi.
Madhya pradesh ke is kisan anudan yojana se kisano ko naye yantr ke upayog se income badhane me kafi madad prapt hogi. Aap sabhi ke jankari ke liye bata den ki is yojana me Mahila Kisano ko atirikt labh ka pravdhan diya jayega. Aap sabhi kisano ko is yojana ke tahat subsidy prapt karne ke liye bas Registration karna hai. Is MP Kisan Anudan Yojana me registration kaise karna hai, Iski puri janakari niche share ki gayi hai.
Scheme Name | MP Kisan Anudan Yojana |
Department | Agriculture Development and Horticulture and Food Processing Department |
Launched By | Madhya Pradesh Government |
Benefit | Subsidy on purchase of agricultural equipment |
Objective | Subsidy for purchase of agricultural equipment |
Beneficiary | State’s Farmer |
Registration Process | Online |
Official Website | dbt.mpdage.org/ |
Ham sabhi jante hai ki aaj kal krishi karne ke liye naye upkarno ki madad li ja rahi hai. Lekin sabhi kisano ke paas itni income nahi hoti hai ki ve in naye Krishi yantro ko kharid sake. Naye krishi yantro ki madad se kheti karna behad aasan ho chuka hai, Isliye kisano ki isi samsya ko dekhte huye Madhya pradesh government ne “Krishi Upkaran Subsidy Yojana” ki shuruat ki hai.
MP Government ki is Krishi Upkaran Subsidy Yojana ka mukhya udeshya ya hai ki rajya ke kisano ko krishi upkaran kharidne me madad kare. Iske liye un sabhi kisnao ko state government dwara financial help provide ki jayegi. In krishi upkarno ke jariye ve acchi kheti kar payenge aur aatmnirbhar bhi ban sakenge.
Agricultural aid machine (कृषि सहायता यंत्र)
Irrigation equipment (सिंचाई यंत्र)
Important Link For e Krishi Yantra Anudan Registration
e Krishi Yantra Anudan Registration Form | Click Here To Fill Registration Form |
Know Your Registration Status | Click Here |
List of registered applications | Click Here |
Official Website | Click Here |
MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 :- Hello Friends, Bhavnagar University B.Sc Sem 2 Result…
UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 :- Hello Friends, Rajasthan University (UNIRAJ) ne BA 2nd…
VKSU UG Admission 5th Merit List 2023 :- नमस्कार दोस्तों, बिहार की वीर कुंवर सिंह…
Puducherry Police Admit Card 2023:- Hello Friends, Puducherry Police ne Constable, Radio Technician & Deck…
जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन फॉर्म 2023 :- नमस्कार दोस्तों, यदि आप अपना खुद…
VKSU UG Admission 1st Merit List 2023:- नमस्कार दोस्तों, जिन छात्रों ने वीर कुंवर सिंह…