MP Viklang Pension Yojana Online Registration :- Hello friends, Madhya Pradesh government ne apne rajya ke viklang nagrikon ko labh aur suvidha pahuchane ke liye “Viklang Pension Yojana” ki shuruat ki hai. MP Viklang Pension Yojana ke tahat rajya ke sabhi viklang nagrikon ko Madhya Pradesh government dwara Rs 500 prati mahine diye jayenge. Yah pension sabhi viklang nagriko ko registration karane par di jayegi.
Yadi aap bhi Madhya Pradesh ke nagrik hain aur is yojana ke tahat patrata rakhte hain, To aap bhi sarkar dwara diye ja rahe is yojana ka labh utha sakte hai. Yah pension sabhi viklang nagrikon ke Bank account me har mahine transfer ki jayegi, Jisse ve apna jivan acche se vyatit kar sakte hai.
Madhya Pradesh sarkar dwara shuru ki gayi is yojana ka labh vahi nagrik utha sakte hai jo 40% ya usse adhik viklang honge. Yadi aap rajya sarkar dwara di gayi eligibility criteria ko pura karte hain, To aap is yojana ke liye online registration form bhar sakte hai. Sabhi icchuk nagrik Madhya Pradesh ki official website Social Security par jakar online registration kar sakte hai.
Aap sabhi nagrikon ki jankari ke liye bata den ki MP Viklang Pension Yojana ka labh uthane ke liye aap sabhi viklang nagrikon ko viklang hone ka praman patra (Certificate of disability) banvana hoga. Yah certificate aap Chief Medical Officer, Doctor of Community Health Center / Primary Health Center ke yaha se banva sakte hai.
Scheme Name | Madhya Pradesh Viklang Pension Yojana |
Launched By | Madhya Pradesh Government |
Department | Department of Social Security Madhya Pradesh |
Beneficiary | State Disabled Person |
Objective | Providing monthly pension to disabled people |
Official Website | https://socialsecurity.mp.gov.in/ |
Madhya Pradesh me bahut se aise viklang nagrik hai, jo apna jivan yapan acche se nahi chala pa rahe hai. Aise me unke ghar valo ko pareshani uthani padti hai. Iske alava kuch viklango ki stithi aur jyada kharab hoti hai. Inhi sab ko dekhte huye MP government ne “Viklang Pension Yojana“
ki shuruat ki hai.
Viklang Pension Yojana ke antargat jin bhi nagrikon ka naam aayega, Unhe iska labh ke rup me 500 Rupaye pradan kiya jayega. Iske jariye ve sabhi viklang nagrik self dependent ho sakenge. Aaiye ab aapko batate hain ki aap is Viklang Pension Yojana me Application form kaise bhar sakte hai.
Madhya Pradesh ke jo bhi nagrik is Viklang Pension Yojana ka labh uthana chahte hai, Ve niche diye gaye steps ko follow kar online application form bhar sakte hai :-
Is tarah aap MP Viklang Pension Yojana ke liye online registration form bhar sakte hai. Registration Form bharne ke bad aap apne form ka satus bhi jan sakte hai. Aap MP Social Security ke website se hi online application form status ki janch kar sakte hai.
Important Links For MP Viklang Pension Yojana
Viklang Pension Yojana Registration | Apply From Here |
Know Your Registration Status | Click Here |
Pension Passbook | Click Here |
Official Website | Click Here |
Yaha hamne Viklang Pension Yojana se sambandhit sabhi jankari pradan ki hain. Hame ummid hai aapko yah janakri acchi lagi hogi. Yadi aapke paas abhi bhi isse sambandhit koi saval hai, to aap apna saval hamse niche comment box me puchh sakte hai.
MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 :- Hello Friends, Bhavnagar University B.Sc Sem 2 Result…
UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 :- Hello Friends, Rajasthan University (UNIRAJ) ne BA 2nd…
VKSU UG Admission 5th Merit List 2023 :- नमस्कार दोस्तों, बिहार की वीर कुंवर सिंह…
Puducherry Police Admit Card 2023:- Hello Friends, Puducherry Police ne Constable, Radio Technician & Deck…
जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन फॉर्म 2023 :- नमस्कार दोस्तों, यदि आप अपना खुद…
VKSU UG Admission 1st Merit List 2023:- नमस्कार दोस्तों, जिन छात्रों ने वीर कुंवर सिंह…