Namo Tablet Yojana Registration :- Hello Friends, Central & State Government ke taraf se sabhi College students ko 4G Tablet diya ja raha hai. Pradhan Mantri Narendra Modi apne desh ko digital education ko badhava dene ke liye sabhi students ko Tablet de rahe hai. Iske liye PM Modi ne ek new scheme ki shuruart ki hai, Jiska naam “Namo E-Tablet Yojana” hai. Is yojana me registration karne vale sabhi College students ko Tablet diya jayega.
Yadi aap bhi ek College student hai, Aur Namo Yojana ka labh uthana chahte hai, To aap is yojana ke liye online registration kar sakte hai. Namo Tablet Yojana har saal kuch hi samay ke liye shuru kiya jata hai, Isliye aap sabhi jald se jald Tablet prapt karne ke liye online registration kar sakte hai. Aap sabhi students is post se Tablet specifications, prices, registration process se related sabhi details check kar sakte hai.
Latest Update :- Namo Tablet Yojana Registration start kar diya gaya hai. Sabhi interested candidates Official website se 4G Tablet ke liye online Registration kar sakte hai. Online Registration karne ki puri details niche share ki gayi hai.
Namo E-Tablet Yojana Registration
Central & State Government ke is “Namo E-Tablet Yojana” ke antargat sabhi college students ko Tablet diya jayega. Sabhi students ko Namo Tablet prapt karne ke liye 1000 Rupees dena hoga, Jiske bad unhe yah Tablet diya jayega. Central government good quality technical products tablet dene ja rahi hai, Isliye unhone ye 1000 Rupees ki mang ki hai. Aap sabhi students niche is Namo E-Tablet Yojana ki details prapt kar sakte hai.
PM Narendra Modi ne is scheme ko sabse pahle Gujarat state me launch kiya hai, Yadi yah yojana is state me successful rahti hai, To baki ke state me bhi “Namo Tablet Yojana” ki shuruat kar di jayegi. Abhi sabhi college students niche diye gaye Link se “Namo Tablet Yojana” ke liye registration karenge, Jiske bad unhe yah tablet diya jayega.
Namo E-Tablet Scheme – Details
Scheme Name | Namo Tablet Yojana |
Launched by | CM Vijay Rupani |
Beneficiaries | School & College Students |
Objective | Providing tablets in Rs.1000 |
Registration Time | Always Open |
Official Website | https://www.digitalgujarat.gov.in/Tablet.aspx |
Namo Tablet Specification Details
Central & State Government ke dwara jo sabhi College students ko Tablet diya jayega, Us table ka Specification Details details niche share kiya gaya hai.
RAM | 4GB |
Processor | 1.3GHz MediaTek |
Chipset | Quad-core |
Internal memory | 8GB |
External memory | 64GB |
Camera | 5MP (rear), 2MP (front) |
Display | 7 inch |
Touch screen | Capacitive |
Battery | 4000 mAh Li-Ion |
Operating System | Android v5.1 Lollipop |
SIM card | Yes |
Voice Calling | Yes |
Connectivity | 4G |
Price | Rs. 8000-9000 |
Manufacturer | Lenovo/Acer |
Warranty | 1 Year for the handset, 6 months for in-box accessories |
Namo Tablet Yojana – Eligibility Criteria
Yadi aap is Namo Tablet Yojana ka labh uthana chahte hai, To government dwara jari ki gayi kuch eligibility criteria ko full fill karna hoga. Niche hamne iski puri jankari share kiya hai :-
- Sabhi students ka Annual Income 1 lakh se adhik nahi honi chahiye.
- Student Gujarat state ka hona chahiye.
- Student poverty line category ka hona chahiye.
- Student class 12th pass hona chahiye, Aur Graduation ki padhai kar raha hona chahiye.
Namo Tablet Yojana – Documents Required
Namo tablet scheme ka labh lene ke liye aapke pass ye documents hona jaruri hai, Tabhi aap is scheme ka labh utha sakenge.
- Address Proof
- Aadhar card
- Domicile certificate
- Voter ID card
- 12th passing certificate
- under-graduation course or Polytechnic course admission certificate
- Below the poverty line certificate
- Caste certificate
How To Register For Namo Tablet Yojana?
Yadi aap Namo Tablet Yojana ke liye online registration karna chahte hai, To aap niche diye gaye steps follow kar sakte hai :-
- Sabse pahle aap iske Official website par visit kare.
- Iske home page se aap is yojana ki details prapt kar sakte hai.
- Namo tablet yojana notification padh len.
- Iske bad online registration par click kare.
- Agle page par aapke samne ek Registration form khulega.
- Aapko Registration form me apna sabhi details enter karna hai.
- Form bharne ke bad, Documents upload kare.
- Form ke sath form fee pay kar den.
- Iske bad Registration Form Submit kar de.
- Form Submit karne ke kuch hi din bad, Aapko Tablet de diya jayega.
-: Important Links :-
Namo Tablet Yojana Registration | Click Here To Register |
Official Website | Click Here |
Aap sabhi students is “Namo Tablet Scheme” ke tahat tablet prapt kar sakte hai. Yaha hamne is scheme ki puri details share kiya hai. Hame ummid hai, Appko yah jankari achhi lagi hogi.
Yadi aapke man me abhi bhi is scheme related koi question hai, To aap question hamse niche comment box me puch sakte hai.