Odisha Free Laptop Scheme 2021 :- Hello friends, Odisha ke Higher education department ne apne state ke class 11th & 12th students ke liye “Free Laptop Distribution Scheme” ki shuruat ki hai. Yah schme Odisha ke Biju Yuva Sashaktikarn Yojana ke antargat shuru ki gayi hai. Yadi aap bhi Odisha Board se Class 11th or 12th me padh rahe hai, To aap is Free Laptop Scheme ka labh utha sakte hai. Aap sabhi students is post me madhyam se is Scheme ke bare me puri jankari prapt kar sakte hai.
Odisha government ne Biju Yuba Sashaktikaran Yojana ke antargat boards exam me acche marks lane vale sabhi students ko Free Lapopt dene ki bat kahi hai. Jiske liye ab online registration bhi shuru kar diya gaya hai. Yah Laptop sabhi students ke board numbers merit ke aadhar par diya jayega. Niche aap is Free Laptop Distribution Scheme se related sabhi jankari jaise ki Eligibility, How to Apply, Online Merit List ki jankari prapt kar sakte hai.
CHSE Board se +2 Board Exam pass karne vale meritorious students ko is Laptop Schme ke tahat labh pradan kiya jayega. Vaise sabhi Vocational students jo CHSE (O) aur Upa-shastri students jo Shree Jagannath Sanskrit University, Puri se paas honge, Unhe bhi is yojana ka labh pradan kiya jayega. Isse juri puri details janne ke liye ek bar notification jarur padhe.
Iske alava aap sabhi students ke jankari ke liye bata den ki CHSE exam in respective streams & Upshastri Exam me acche marks lane vale 15000 candidates ki merit list banegi aur unhe hi Free Laptop pradan kiya jayega. Yah Laptops Odisha ke30 Nodal Centres par bata jayega. Odihsa I.T Dept. sabhi laptops nodal Colleges ke principal ko dega.
Scheme Name | Odisha Free Laptop Scheme |
Organization | Biju Yuba Sashaktikaran Yojana |
State | Odisha |
Beneficiary | Odisha +2 Students |
Objective | Providing free laptops to students |
Total No of Laptops | 1500 Laptops |
Year | 2020-21 |
Jo bhi students Free Laptop Scheme ke liye eligibility criteria ko pura karte hai, Ve niche diye gaye steps ko follow karke, Online Application from bhar sakte hai :-
Yadi aapne Free Laptop Scheme ke antargat laptop prapt karne ke liye apply kar diya hai, To aap niche bataye gaye tarike ke anusar Merit list me apna naam dekh sakte hai :-
Important Links For Odisha Free Laptop Apply
Odisha Free Laptop Scheme | Click Here To Apply |
PDF Application Form | Download |
Check Merit List | Click Here |
Official Website | Click Here |
Yaha hamne Odisha Government aur Biju Yuba Sashaktikaran Yojana ke taraf se di ja rahi “Odisha Free Laptop Scheme” ke bare me janakri di hai.
Yadi aapke paas abhi bhi is scheme se related koi question hai, To aap apna question hamse niche comment box me puch sakte hai.
MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 :- Hello Friends, Bhavnagar University B.Sc Sem 2 Result…
UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 :- Hello Friends, Rajasthan University (UNIRAJ) ne BA 2nd…
VKSU UG Admission 5th Merit List 2023 :- नमस्कार दोस्तों, बिहार की वीर कुंवर सिंह…
Puducherry Police Admit Card 2023:- Hello Friends, Puducherry Police ne Constable, Radio Technician & Deck…
जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन फॉर्म 2023 :- नमस्कार दोस्तों, यदि आप अपना खुद…
VKSU UG Admission 1st Merit List 2023:- नमस्कार दोस्तों, जिन छात्रों ने वीर कुंवर सिंह…