RRB NTPC, Group D & Other Exam Dates Released :- Hello friends, Jaisa ki aap sabhi janate honge ki Railway Recruitment Board ne RRB NTPC, Group D Exam Dates jari kar diya hai. Yah RRB NTPC Recruitment Examination 28 December 2020 se shuru hone ja rahi hai. Yah sabhi examination agle saal March 2021 tak aayojit ki jayega. Yadi aapne bhi RRB NTPC Exam ke liye form bhara hai, Aur ab Exam Schedule download karna chahte hain, To iski puri jankari niche is post me di gayi hai.
Railway Board RRB Level-1 Exam (for Track Maintainers, Points Man and various Level-1 posts) agale saal 2021 ke April ke pahle saptah aur June ke biche me aayojit karega. Aapko bata den ki Indian Railway Board ke Chairman Vinod Kumar Yadav ne yah RRB NTPC & Group D Recruitment Exams Date ki ghoshna ki hai.
Iske alava Indian Railway ke Chairman Vinod Kumar Yadav ne ghoshna ki thi ki RRB Isolated and Ministerial Category Examinations 15 se 18 December 2020 ke bich aayojit ki jayega. In sabhi examinations ke liye Admit card/Hall Ticket RRB ke official website par jari ki ja rahi hai.
RRB NTPC & Group D Exam Date Sheet 2020
Aap sabhi ke jankari ke liye bata den Indian Railway Board dwara nikali gayi RRB CEN 01/2019 ke tahat ghoshit 1.4 Lakh khali padon ke liye total 2.44 Crore application form prapt huye hai. Yadi aapne bhi RRB dwara nikali gayi is bharti ke liye application form bhara hai, To aap apne exam dates niche dekh sakte hai.
Railway Recruitment Board (RRB) ki aor se 35208 Posts par bharti ke liye yah pariksha December 2020 se March 2021 tak aayojit karai jani hai. In sabhi Posts me se 24605 postgraduate level ke liye hai, Jabki 10603 posts Non-Technical Popular Category (NTPC) 10 + 2 level ke liye hai.
RRB NTPC, Group D, Level-1 Recruitment: Important dates
Railway Board Exam | Important Dates |
RRB Isolated & Ministerial Category | 15 – 18 December 2020 |
RRB NTPC Exam | 28 December – March 2021 |
RRB Level-1 Exam | April 2021 se June 2021 |
Railway Recruitment NTPC Group D Exam
RRB NTPC (Guard, Office Clerk, Commercial Clerk etc.) ke liye total 35,208 post hai. Iske sath hi Level-1 ke liye 1,03,769 posts (Track Maintainer, Pointsman etc.) aur alag alag individual and ministerial categories (Stenographers etc.) ke liye 1,663 posts hai.
Isolated and Ministerial categories me 1663 post ke liye kul 1.03 Lakh Application from prapt huye hai. Iske sath hi Level-1 ke liye 1.15 crore applications form prapt huye hai. RRB NTPC recruitment ke 35,000 Posts ke liye total 1.26 Crore application form prapt huye hai.
RRB NTPC Group D Exam Guideline’s
Indian Railway Board ke Chairman Vinod kumar yadav ne kaha ki Coronavirus ke karan ham sunischit kar rahe hai ki sabhi candidates ke liye exam center unke state ke andar hi rakha jaye. Ham is par kam kar rahe hai, Aur ham sunischit karna chah rahe hai ki sabhi candidates ki yatra ki duri kam ho.
Ham sabhi candidates ke liye Special Train chalane ke liye bhi yojana bana rahe hai. Aur ham sabhi jagah Covid-19 protocol ka bhi palan karne ke koshis kar rahe hai. Yah sabhi exam March 2021 tak aayojit kar li jayegi. Jiske bad Level-1 ki exam bhi aayojit ki jayegi.
RRB NTPC Exam Help Line Number
RRB ne bharti se judi kisi bhi prkaar ki samasya ke liye help line number jari kiya hai. RRB East Central Region 0612-2560029, 0612-2560035 ke in help line number par call karke kisi bhi prkar ka saval puch sakte hai.
RRB NTPC एग्जाम से सम्बंधित Updates :
- RRB NTPC Exam Updates : इस दिन रेलवे लेगा NTPC का Exam, पढ़े पुरी खबर
- RRB NTPC Exam 2020 : आप पर लग सकता है आजीवन प्रतिबन्ध,अगर करते हैं ये गलती
- RRB NTPC Exam Syllabus क्या होगा | रेलवे परीक्षा मे किस तरह से प्रश्न पूछे जाएंगे?
- RRB NTPC परीक्षा के लिए ऐसे करें तैयारी | परीक्षा मे होंगे सफल
- RRB NTPC Exam 2020 : स्टेशन मास्टर / यातायात सहायक के पदों के लिए देनी होगी ऑनलाइन परीक्षा, जाने पुरी खबर