Registration Form

Sonu Sood Free E-Rickshaw Registration 2021: Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme, Check Eligibility

Sonu Sood Free E-Rickshaw Registration 2021 :- Bollywood Actor Sonu Sood ne ek fir se apne desh vasiyo ke liye ek nai yojana lekar aaye hai. Ji ha doston, Medical students ke liye Free Sonuism Scholarship Scheme ke turant bad hi, Sonu Sood ne “Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme” launch kiya hai. Yah scheme un sabhi logo ke liye hai, Jo Coronavirus ke karan buri tarah se prabhavit hai, Aur unke paas koi rojgar nahi hai.

Sonu Sood ke is Scheme Khud Kamaao Ghar Chalaao me sabhi labharthi logo ko “Free E-Rickshaw” pradan karenge. Sonu Sood ne yah scheme apne twitter aur instagram handle par tweet kar ke shuru ki hai. Yah E-Rickshaw Sonu Sood ke taraf se bilkul muft me di ja rahi hai. Lekin sabse pahle aap sabhi logon ko online registration karna hoga, Jiski puri jankari hamne niche is post me di hai.

Sonu Sood Free E-Rickshaw Scheme

Jaisa ki aap sabhi jante honge ki Sonu Sood Coronavirus mahamari ke shuru hote hi, Sabhi pravasi majduron ko ghar bhejne ke liye bus ka intjam kiye the. Iske baad Sonu Sood ne Rojgar Portal, Scholarship Scheme ki bhi shuruat ki hai. Aur ab Bollywood Dabang Actor Sonu Sood ne “Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme” ki shuruat ki hai. Is scheme me sabhi jaruratmand logo ko Free E-Rickshaw pradan karenge.

Sonu Sood ke is “Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme” ka labh jo bhi log uthana chahte hain, Ve is schme ke official website par jakar online registration kar sakte hai. Usse pahle aap niche is scheme ki Registration Form, Features, Eligibility criteria bhi check kar sakte hai.

Sonu Sood Free E-Rickshaw Gift Scheme

Sonu Sood ne apne Instagram aur Twitter handle par ek post share kiya hai, Jisme unhone is “Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme” ki shuruat ki hai. Yah scheme Sonu Sood ne “Shyam Steel Retail India” ke sath milkar shuru ki hai. Sonu Sood ne apne post me likha ki :-

Sonu Sood Said :-“Over the last few months, I have received a lot of love from people. This love inspires me to be there for them. That is why I started the initiative ‘Khud Kaam Kho Ghar Chalao.”

Sonu Sood Free E-Rickshaw Gift Scheme – Features

  • Free E-Rickshaws gift karne ka mukhya udeshya un logo ki madad karna hai, Jo apni aajivika yani rojgar kho chuke hai.
  • Corona mahamari ke samay aise logo ko aatmnirbhar banane me madad karenge.
  • Shyam Steels India ne Sonu Sood ke is Khud Kamao Ghar Chalao Project me collab kiya hai.
  • Shyam Steels India hi Sonu Sood ke is scheme me Free E Rickshaw gift karega.
  • Yah Free E-Rickshaw aavedak ke socio-economic parameters ke aadhar diya jayega.
  • Sabhi yogya aavedan Shyam Steels ke portal par jakar online registration kar sakte hai.

Sonu Sood E-Rickshaw Gift Scheme – Eligibility Criteria

  • Aavedak vulnerable sections society (समाज के कमजोर वर्गों) se honga chahiye.
  • E-Rikshaw Scheme ke liye aavedan karne vale aavedak paas ek business hona chahiye.
  • Aavedan karne ke liye aavedan ke paas Income Certificate aur Driving License hona chahiye.

How to Apply for Khud Kamaao Ghar Chalaao (Free E Rickshaw) Scheme 2021?

Jo bhi aavedak Sonu Sood ke Khud Kamaao Ghar Chalaao (Free E Rickshaw) Scheme 2021 me online registration karna chahte hai, Ve niche diye gaye steps follow kar sakte hai :-

  • Sabse pahle aap E-Rickshaw Scheme ke official website par jaaen.
  • Iske home page par “Online Registration Form” open hoga.
  • Ab aap us page me apni sabhi details bhar den, Aur submit button par click kar den.

Important Links For Sonu Sood Free E-Rickshaw Scheme

E-Rickshaw Registration Form Click Here To Apply
Official Website Click Here
Contact NumberClick Here

Email ID : sonusood.shyamsteelindia@gmail.com

Aap sabhi log upar bataye gaye steps ko follow kar Sonu Sood Free E-Rickshaw Scheme ke liye online registration Form bhar sakte hai.

Yaha hamne is scheme ki puri jankari pradan ki hai. Yadi aapke paas abhi bhii isse related koi saval hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puch sakte hai.

kvsro

Recent Posts

MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 (Released): Check Bhavnagar University Results

MKBU B.Sc Sem 2 Result 2023 :- Hello Friends, Bhavnagar University B.Sc Sem 2 Result…

2 months ago

UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 (जारी): Check RU BA Part 2 Results

UNIRAJ BA 2nd Year Result 2023 :- Hello Friends, Rajasthan University (UNIRAJ) ne BA 2nd…

2 months ago

VKSU UG Admission 5th Merit List डाउनलोड करें @vksuonline.in

VKSU UG Admission 5th Merit List 2023 :- नमस्कार दोस्तों, बिहार की वीर कुंवर सिंह…

2 months ago

Puducherry Police Admit Card 2023 (Released): Constable Exam Call Letter

Puducherry Police Admit Card 2023:- Hello Friends, Puducherry Police ne Constable, Radio Technician & Deck…

2 months ago

जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन 2023 ऑनलाइन फॉर्म MSME/ Udyam Registration

जिला उद्योग केंद्र लोन योजना आवेदन फॉर्म 2023 :- नमस्कार दोस्तों, यदि आप अपना खुद…

2 months ago

VKSU पार्ट 1 UG एडमिशन 1st Merit List 2023 | ऐसे करें डाउनलोड

VKSU UG Admission 1st Merit List 2023:- नमस्कार दोस्तों, जिन छात्रों ने वीर कुंवर सिंह…

2 months ago