Sarkari News

UP Jansankhya Kanoon 2021: यहाँ जाने जनसंख्या विधेयक की सुविधाएं व कटौती

Uttar Pradesh Jansankhya Kanoon 2021 :- Uttar Pradesh ke Chief Minister Yogi Adityanath ne UP Jansankhya kanoon ko shuru kiya hai. Ham sabhi log jante hai ki Uttar Pradesh me kai desho se bhi jyada Population hai. Aise me yah Jansankya Kanoon lane ki bahut hi aavashykta thi. Is kanoon ke jariye state se sabhi nagriko ko sabhi facility diya ja sakega. UP State Law Commission ne Jansankhya Kanoon Draft ready kiya hai, Jise bahut hi jald sabhi nagriko ke bich lagu kar diya jayega.

Aapko bata den is Jansakhya Kanoon ko UP Government ke kahne par nahi, Balki UP State Law Commission dwara khud taiyar kiya gaya hai. Aaj ke is article me ham aapko is UP Jansankhya Kanoon ke bare me sabhi jankari diya hai. Jaise ki UP Jansankhya Kanoon draft kya hai, Ise lagu hone par sabhi logo ko kya kya labh honge, Iska palan na karne par sabhi logo ko kya kya samasya karna padega, In sabhi chijo ki jankari hamne is post me share kiya hai.

UP Jansankhya Kanoon Draft 2021

Uttar Pradesh Jansankhya Kanoon draft UP State Law Commission dwara taiyar kiya gaya hai. Jiske jariye Uttar Pradesh me Jansankhya niyantran ke liye kanooni upay ke sujhav pradan kiye gaya hai. Is Jansankhya kanoon ko iske official website par upload kar diya gaya hai aur 19th July 2021 ko is draft par sujhav manga gaya hai.

Aapko bata den UP Jansankhya Kanoon me do ya do se kam bacho vale nagriko ko sabhi prakar ki sarkari suvidhaye di jayegi. Iske sath hi do se adhik bacho vale nagriko ko sarkari suvidhaye se alag rakha gaya hai. Yadi yah draft lagu kiya jata hai, To ve sabhi jo Jansankhya Kanoon me madad karenge, Unhe sarkar dwara vishesh labh diya jayega.

Aap sabhi Uttar Pradesh ke nagriko ko yah janna bahut jaruru hai ki do se adhik bache hone ki sthiti me Sarkari Job se lekar election ladne tak rok lagayi ja sakti hai. Is draft me kanoon ko na manne vale ko nagriko ko 77 government scheme aur grant se vanchit rakha jayega.

UP Jansankhya Kanoon- Overview

Scheme NameUP Jansankhya Kanoon
Launched ByUP Government Scheme
BeneficiaryCitizens of Uttar Pradesh
ObjectiveControl the population
Year2021
Official Websitehttp://upslc.upsdc.gov.in/

Uttar Pradesh Jansankhya Kanoon Objectives

Uttar Pradesh Jansankhya Kanoon ka main objective UP me badhti huyi Jansankhya ko niyantran karna hai. Yadi yah kanoon lagu kar diya jata hai, To is kanoon ke madhyam se vah sabhi parivar jo parivar ke niyojan ke upay ko manenge, Unko bahut sare veshesh labh diye jayenge, Aur jo log is kanoon se vanchit honge, Unhe kai sari sarkari yojano ka labh nahi diya jayega.

Benefits and Features of UP Jansankhya Kanoon

  • यूपी जनसंख्या कानून प्रस्ताव राज्य विधि आयोग द्वारा तैयार किया गया है।
  • इस प्रस्ताव के माध्यम से उत्तर प्रदेश में जनसंख्या नियंत्रण के लिए कानूनी उपायों के लिए सुझाव दिए गए हैं।
  • इस प्रस्ताव पर 19 जुलाई 2021 तक जनता की राय मांगी गई है।
  • प्राप्त राय के आधार पर आयोग द्वारा विचार करने के बाद प्रस्ताव सरकार को प्रस्तुत किया जाएगा।
  • इस प्रस्ताव के तहत दो या दो से कम बच्चों वाले माता-पिता को विभिन्न प्रकार की सुविधाएं प्रदान की जा रही हैं।
  • वे सभी माता-पिता जिनके दो से अधिक बच्चे हैं, उन्हें कई प्रकार की सुविधाओं से वंचित करने का प्रावधान इस प्रस्ताव में शामिल है।
  • अगर यह प्रस्ताव लागू हो जाता है तो सरकार को जनसंख्या नियंत्रण में मदद मिलेगी।

Check UP Population Control Law Draft :- CLICK HERE

Aap sabhi nagrik is UP Jansankhya Kanoon Draft ke bare me puri jankari prapt kar sakte hai. Yaha aapko UP Jansankhya Kanoon ke bare me puri jankari diya hai. Aap sabhi candidates is UP Jansankhya Kanoon se related sabhi update prapt kar sakte hai.

Yaha hamne UP Jansankhya Kanoon 2021 ke bare me jankari diya hai. Hame ummid hai, Aapko yah jankari achi lagi hogi. Yadi aapke paas abhi is Yojana se related koi saval hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puchh sakte hai.

Leave a Comment