Uncategorized

(Apply Online) UP Rojgaar Mela 2021: Registration Form @sewayojana.up.nic.in

UP Rojgaar Mela Registration 2021:- Hello Friends, Uttar Pradesh government ne Rojgaar Mela 2021 ke liye registration shuru kar diya hai. Yadi aap UP ke nagrik hai, Aur job ki talash kar rahe hai, To aapko sabhi government job ki jankari Rojgar Mela me di jayegi. Yadi aap kisi bhi job ke liye Qualification rakhte hai, To aap Rojagaar Mela me ek achhi job ki talash kar sakte hai. Aap sabhi candidates UP Rojgaar Mela Scheme 2021 ke bare me sabhi jaankari is article me dekh sakte hai.

UP State government ne May 2021 se UP ke kai districts me Rojgaar Mela ka shuruat kiya hai. Uttar Pradesh Job Portal services ka labh sabhi eligible candidates utha sakte hai. Yadi aap Rojgaar Mela ke jariye job ki khoj karna chahte hai, To aap niche bataye gaye tarike ke anusar Online Registration Form apply kar sakte hai.

Latest Update :- Uttar Pradesh Rojgaar Mela Scheme 2021 ke liye Online Registration start ho gaya hai. Sabhi students is article me diye gaye Direct Link se Latest Government Jobs ke liye registration kar sakte hai.

UP Rojgaar Mela 2021 Registration

Ham sabhi jante hai Uttar Pradesh state sabse jyada populated hai, Is state me berojgaro ki sankhya bahut hi adhik hai, Isliye yaha ki government ne UP Rojgaar Sangam Scheme 2021 ki shuruat kiya hai. Aap sabhi candidates is latest government jobs ke liye Rojgaar Sangam Portal par jakar online registration kar sakte hai. UP state ke sabhi family ko is scheme ka labh lene ke liye online registration karna hoga.

Uttar Pradesh Government is Rojgaar mela me latest vacancy ke liye notification release karega, Jiske jariye sabhi eligible candidates ko Job diya jayega. UP ke sabhi districts me is Rojgaar Mela 2021 ke liye registration shuru kar diya gaya hai. Hamne is article me UP Rojgar Mela 2021 Registration karne ke liye direct link share kiya hai.

UP Rojgaar Mela Registration 2021- Overview

Organization NameEmployment Department of Uttar Pradesh
Article NameUP Rojgaar Mela Registration 2021
BeneficiariesUnemployed Educated Youth
BenefitsEmployment Opportunities
Launched ByUP State Government
CategoryGovernment Jobs
Official Websitesewayojana.up.nic.in

UP Rojgaar Mela 2021 Registration @sewayojana.up.nic.in

Uttar Pradesh government ne job or internship ke liye Rojagaar Mela 2021 shuru kar diya hai. Sabhi candidates ko UP Rojgaar Mela 2021 ke liye eligibility criteria ko full fill karna hoga. Yadi aap bhi UP Rojgaar Mela 2021 ke tahat labh uthana chahte hai, To aap niche diye gaye steps ko follow karke Online Registration kar sakte hai.

UP sarkar ki is “Rojgaar Mela Yojana” ka mukhya udeshya rajya me berojgaro ko self employed karna hai. Rojgaar Mela ke jariye rajya ke andar hi chote chote industry ka vikas hoga. Isse pichle varg ke yuvaon ko aasani se rojgar mil sakega.

Yadi aap bhi UP Rajya ke yuva hai aur is “UP Rojgaar Mela Yojana” ka labh uthana chahte hai, To sabse pahle aapko iske liye online registration karna hoga. Jiski puri janakri aap sabhi ke sath niche share ki gayi hai.

UP Rojgaar Mela Yojana – Eligibility Criteria

  • Only permanent residents of UP & India can apply for State Entrepreneur Scheme.
  • It is compulsory for all interested applicants to be between 18 and 40 years of age.
  • All the applicants who belong to Uttar Pradesh are eligible to apply.
  • Intermediate, ITI, polytechnic level educational qualification can apply under this scheme.

UP Rojgaar Mela Yojana – Required Documents

  • Aadhar Card
  • Caste certificate
  • Income certificate
  • Educational qualification certificate

How To Fill UP Rojgaar Mela Registration Form 2021?

Yadi aap UP Government ke is Rojgaar Mela Yojana ke tahat online registration karna chahte hai to aap niche diye gaye steps ko follow kare online registration form bhar sakte hai :-

  • Sabse pahle aapko UP Govt. ke is Official Website @sewayojan.up.nic.in par jana hai.
  • Is website ke home page par “Registration/ New Account” ke link par click karna hai.
  • Iske baad aapke samne ek registration form open ho jayega.
  • Is registration form me aapko apna Name, Mobile Number, Aadhaar Number enter karana hai.
  • Iske bad aapke mobile number par ek OTP aayega, use bharna hai.
  • Iske bad sabhi educational qualification documents upload karana hai.
  • Aur ant me registration form submit kar dena hai.

-: Important Direct Links :-

Rojgaar Mela RegistrationClick Here
Official WebsiteClick Here

Hamne aap sabhi ke sath is Uttar Pradesh Rojgaar Scheme ke liye Registration process ki puri jankari share kiya hai, Aap sabhi candidates is UP Rojgaar Mela se related sabhi update prapt kar sakte hai.

Yaha hamne Rojgaar Mela Yojana 2021 ke bare me jankari diya hai. Hame ummid hai, Aapko yah jankari achi lagi hogi. Yadi aapke paas abhi is Yojana se related koi saval hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puchh sakte hai.

Leave a Comment