Viklang Pension New List 2021 :- Hello friends, Central government dwara hamare desh ke sabhi viklang logo ko financial help pradan ki jati hai. Central government ne iske liye ek yojana bhi shuru ki hai, jise “Viklang Pension Scheme” ke naam se jana jata hai. Is yojana ki madad se sabhi vikland nagrikon ko financial help di jati hain, jise vah viklang aatmnirbhar self dependent ban saken.
Aaj ke is post me hamne central government dwar jari ki gayi Viklang Pension List 2021 ki jankari pradan ki hai. Yaha niche hamne State wise Disability Pension List online kaise dekhe iski bhi jankari di hai. Iske sath hi hamne Viklang Pension Scheme ka labh uthane ke liye online apply kaise kare, iski bhi janakri hamne step by step di hai.
Viklang Pension List 2021
Aap sabhi ke jankari ke liye bata den ki is Viklang Pension New List ke antargat jin logon ka naam aayega, Un sabhi viklang logon ko central government dwara 3 mahine tak 1000 Rupaye ki financial help di jayegi. Iske jariye sabhi viklang log apna jivan yapan me sudhar kar sakte hai.
Disability Pension List ke anusar sabhi viklang logon ko central government dwara 200 Rupaye prati mahine pradan kiye jate hai. Lekin alag alag Rajya sarkaron dwara is rashi me kuch aur dhan rashi jodi jati hai. Jiske bad jyadatar rajya me is yojana ke tahat sabhi viklang logon ko 500 Rupyae prati mahine diye ja rahe hai.
Viklang Pension List 2021 – Details
Scheme Name | Viklang Pension Scheme |
Started By | Central & State Government |
Objective | Financial help to people with disabilities |
Beneficiary | Disabled of various states |
Help | 500/- Rupaye |
Article Category | Central Gov. Scheme |
Viklang Pension List (Disability Pension)
Hamare desh me bahut se aise viklang nagrik hai, jo apna jivan yapan ko nahi chala pa rahe hai. Aise me unke ghar valo ko pareshani uthani padti hai. Iske alava kuch viklango ki stithi aur jyada kharab hoti hai. Inhi sab ko dekhte huye central government ne “Disability Pension List” jari ki hai.
Viklang Pension List ke antargat jin bhi nagrikon ka naam aayega, Unhe iska labh pradan kiya jayega. Iske jariye ve sabhi viklang nagrik self dependent ho sakenge. Aaiye ab aapko batate hain ki aap is Viklang Pension Yojana me Application form kaise bhar sakte hai.
Viklang Pension Yojana – Eligibility Criteria
- Is Viklang pension yojana me apply karne ke liye Bhartiye hona aavashyak hai.
- Avedan karne vale Viklang ki umar 18 Years se 59 Year ke bich honi chahiye.
- Disability percentage 40% se kam nahi honi chahiye.
- Avedak ko kisi bhi prkar ki old age pension, widow pension, or other pension ka labh nahi milna chahiye.
Viklang Pension Yojana – Required documents
- Applicant’s Aadhar Card
- Bank passbook (for pension transfer)
- Disability certificate
- Passport size photo
- income certificate
- Residential proof
- Birth certificate
- Photo identity proof
- Voter ID Number
- BPL card number
How To Apply For Viklang Pension Scheme Online?
Aap sabhi viklang nagrik niche diye gaye link se apne rajya ke official website par chale jayenge, uske bad aap niche bataye gaye tarike ke anusar Viklang Pension Yojana me apply kar sakte hain :-
- Sabse pahle aap is yojana ki official website pr jaaen.
- Iske home page par aapko “Viklang Pension Apply” ke link par click kare.
- Iske bad aapke samne ek “Application Form” khul jayega.
- Aapko us form me sabhi janakari bharni hai aur documents upload karna hai.
- Iske bad aapko form check karke “Submit” kar dena hai.
- Aapke form ka Verification hone ke bad aapke mobile no par message aayega.
- Jiske bad aapke bank account me yah paise aana shuru ho jayenge.
Viklang Pension Yojana 2021 State wise Official Websites
States | Official Website Link |
NSAP राज्य डैशबोर्ड | CLICK HERE |
आंध्र प्रदेश | CLICK HERE |
असम | CLICK HERE |
अरुणाचल प्रदेश | CLICK HERE |
बिहार | CLICK HERE |
चंडीगढ़ | CLICK HERE |
छत्तीसगढ़ | CLICK HERE |
दिल्ली | CLICK HERE |
गुजरात | CLICK HERE |
हिमाचल प्रदेश | CLICK HERE |
हरियाणा | CLICK HERE |
झारखंड | CLICK HERE |
कर्नाटक | CLICK HERE |
केरल | CLICK HERE |
Madhya Pradesh | CLICK HERE |
महाराष्ट्र | CLICK HERE |
ओडिशा | CLICK HERE |
पंजाब | CLICK HERE |
राजस्थान Rajasthan | CLICK HERE |
तमिलनाडु | CLICK HERE |
सिक्किम | CLICK HERE |
Uttar Pradesh | CLICK HERE |
उत्तराखंड | CLICK HERE |
गोवा | CLICK HERE |
पश्चिम बंगाल | CLICK HERE |
तेलंगाना | CLICK HERE |
Yaha hamne Viklang Pension Yojana se sambandhit sabhi jankari pradan ki hain. Hame ummid hai aapko yah janakri acchi lagi hogi. Yadi aapke paas abhi bhi isse sambandhit koi saval hai, to aap apna saval hamse niche comment box me puchh sakte hai.