Sarkari News

Umeed Career Portal Registration 2022: Log.in @umeedcareerportal.com

Umeed Career Portal Online Registration :- Hello friends, Haryana government dwara apne rajya ke students ko better education dene ke liye ek online portal ki shuruat ki gayi hai. Haryana government ne education ko aur impove karne ke liye “Umeed Career Portal” ki shuruat ki hai. Is official portal ki madad se Haryana ke 10th & 12th Class ke students apne Career ke liye Guidance le sakenge. Aaj hamne Haryana government dwara shuru ki gayi isi poratl ke bare me detail jankari di hai.

Haryana government ne Umeed Career Portal 2022 ki shuruat Counseling aur Career Guidance pradan karne ke liye shurut kiya hai. Yah guidance sabhi class 10th & 12th ke students ko diya jayega. Yadi aap Haryana ke students hai aur “Umeed Career Portal” ke bare me jankar prapt karna chahte hain, To aaj hamne is portal ki Objectives, benefits, features, eligibility, important documents, application process etc. ke bare janakri pradan ki hai.

Latest Update :- Haryana Government ne Umeed Career Portal ki shuruat ki hai, Jiska link yah hai @umeedcareerportal.com. Is portal par ab Online Registration ki prkriya bhi shuru ho chuki hai. Aap niche bataye gaye tarike ke anusar online registration kar sakte hai.

Umeed Career Portal 2022 Registration

Haryana ke Mukhymantri Shree Manohar Lal Khattar ji ne tweet karke is Umeed Career Portal ki jankari di hai. Is Umeed Career Portal ki shuruat class 10th & 12th students ko guidance karne ke liye kiya gya hai. Iske alava Directorate of School Education ne Umeed Counselling Centres bhi kai jilon me khole hai. Is portal ki madad sabhi students ko unke future me diye jane vale opportunities ke bare bataya jayega.

Objective Of Umeed Career Portal

Haryana Umeed Career Portal 2022 ki shuruat Haryana ke students ko Counselling aur Career Guidance ke liye kiya gya hai. Is portal par sabhi students ko guidance milegi, jisse unhe pata chalega ki kis kshetra me padhai karna labhdayak hai.

Aise kai students hai jinhe sahi Course choose karne ke liye guidance nahi milta, Jiske bad unhe future me kafi pareshani uthani padti hai. Ab is portal se unhe sahi guidance milege, Jisse ve sahi course ko choose karenge aur ek acchi si job bhi prapt karenge.

Umeed Career Portal 2022 – Details

Scheme NameUmeed Career Portal
Started ByHaryana Government
BeneficaryHaryana’s Students
ObjectiveProviding counseling and career guidance.
Year2020
Official WebsiteClick Here

Haryana Umeed Career Portal 2022 Benefits & Features

  • Umeed Career Portal 2022 ke madhyam se sabhi students ko Counselling aur Career guidance pradan ki jayegi.
  • Yah guidance Haryana ke 10th & 12th Class ke students ko di jayegi.
  • Is career guidance ke jariye sabhi students ko kis category me padhai karne se labh hoga, uske bare me bataya jayega.
  • Haryana me Counselling centres khole gye hai, Jaha sabhi students ke sath career counselling ki jayegi.
  • Umeed Career Portal 2022 par 18 November 2022 se online training shuru ho chuki hai.

Important Documents To Apply on Umeed Career Portal

  • Aadhar Card
  • residence certificate
  • School id card
  • Ration card
  • Passport size photograph
  • mobile number

Link For Training Of Students And Teachers

सेशनअटेंडीसपार्टिसिपेशन की लिंक
Teacher Training Session on Usage of Umeed Career PortalExpectancy Centers, Counselors, PGThttp://bit.ly/umeedcareerportaltraining
Student Engagement Session on Umeed Career PortalStudents of class 10th and 12thhttp://bit.ly/umeedcareerportalwebinar  

Student And Teachers ID and Password

Log.in IDPassword
School/Techerस्कूल आईडी followed by t1 eg. 1234t1123456
Studentsछात्र का एसआरएन नंबर123456  

Steps To Registration On Umeed Career Portal

  • Sabse pahle aapko Umeed Career Portal ki official website par jana hai.
  • Iske home page par hi “Login” page open hoga.
  • Is Home page par apako login karna hai.
  • Yadi aap ek teacher hai to School ID enter karen.
  • Aur yadi aap ek student hai to SRN no. enter karna hai.
  • Iske bad password enter karna hai.
  • Ab aap login button par click kar den.

Umeed Career Portal Link :- https://umeedcareerportal.com/

Note:- Yadi aapko SRN Reg No. nahi pata to aap apne Teacher ya School Principle se contact kar sakte hai.

Note :- Ek bar log.in karne ke baad aap Careers, Colleges, Exams, Vocational Courses, Scholarships se related jankari prapt kar sakte hai.

Is prkar aapka Umeed Career Portal par registration complete ho jayega. Yadi aapke paas abhi bhi isse sambandhit koi saval hai, to aap apna saval hamse niche comment box me puch sakte hai.

Leave a Comment