Sarkari Yojna Hindi

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana 2021: ऐसे करें PMRPY Scheme में रजिस्ट्रेशन

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana 2021 Registration :- Central Government dwara desh ke berojgaro ke liye kai sari yojanae chalai ja rahi hai, Isi bich Central government ne ek aur yojana ki shuruat ki hai. Central government ne berojgar yuvaon ko rojgar pradan karne ke liye ek nai yojana “Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana” ki shuruat ki hai. Yadi aap is yojana ke bare me puri detail prapt karna chahte hai, To is post ko ant tak jarur padhe.

Pradhan Mantri Protsahan Yojana ke madhyam se desh bhar me rojgar ke avasar pradan karna hai. Is yojana ke antargat government dwara empolyer ka EPF & EPS contribution kiya jayega. Yadi aap is yojana ke bare me vistar rup se janna chahte hain, To is post ant tak padhen. Yaha aapko is yojana se sambandhit mahtvpurn jankari prapt hogi. Jaise ki is yah yojana kya hai, isme registration kaise kare, labh, udeshya ityadi ke bare me jankari pradan ki gayi hai.

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana 2021

Central government dwara shuru ki gayi is Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana ke antargat employer ko naye rojgar shuru karne ke liye protsahan kiya jayega. Is yojana ke jariye government dwara employer ka ka EPF aur EPS ka bhugtan kiya jayega. Is yojana ke tahat government dwara 8.33% EPS ka yogdan kiya jayega aur 3.67% EPF ka yogdan kiya ayega.

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana ka labh keval naye rojgar shuru karne ke liye hi liya ja sakta hai. Is yojana ke do labh hai ek side to is yojana ke tahat employer ko rojgar sarjan karne ke liye incentive pradan kiya jayega aur dusri side is yojana ke madhyam se rojgar ke naye naye avasr bhi pradan honge.

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana 2021 – Details

Scheme NamePradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana
Launched ByIndian Government
Beneficiary India’s Citizens
Objective Generate employment
Year 2021
Government ContributionEPS me 8.33% & EPF me 3.67%
Scheme Launch Date 1 April 2018
Official Wensitepmrpy.gov.in

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana Registration

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana ke madhyam se berojgar pravasi aur shramiko ko sangathit ke samajik suraksha uplabdh honge. Central government ki is scheme ka labh sirf EPFO ke antargat register employer hi utha sakte hai. Is yojana ke tahat employer ke pas Shram Suvidha Portal ke antargat LIN number hona chahiye.

Central government ke is yojana ka labh employer tabhi utha payenge jab unka Aadhar UAAM se link hoga aur unki salary Rs. 15,000 se adhik nahi honi chahiye. Is PMRPY Yojana ke tahat registration karne ke liye aapko kisi bhi office ka chakkar katna nahi padega. Aapko keval PMRPY ke official website par registration karvana hoga.

PM Rojgar Protsahan Yojana 2021 – Features & Benefits

  • Is yojana ki shuruat naye rojgar ke avasar pradan karne ke liye kiya gaya hai.
  • Is yojana ke antargat government dwara empolyer ka EPF & EPS contribution kiya jayega.
  • Is yojana ke tahat government dwara 8.33% EPS ka yogdan kiya jayega aur 3.67% EPF ka yogdan kiya ayega.
  • Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana ka labh keval naye rojgar shuru karne ke liye hi liya ja sakta hai.
  • PM Rojgar Protsahan Yojana ke madhyam se berojgar pravasi aur shramiko ko sangathit ke samajik suraksha uplabdh honge.
  • Central government ki is scheme ka labh sirf EPFO ke antargat register employer hi utha sakte hai.
  • Is yojana ke tahat employer ke pas Shram Suvidha Portal ke antargat LIN number hona chahiye.
  • PM Rojgar Protsahan Yojana 2021 ka labh employer tabhi utha payenge jab unka Aadhar UAAM se link hoga aur unki sallary Rs. 15,000 se adhik nahi honi chahiye

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana Eligibility

  • Employer Bharat ka nagrik hona chahiye.
  • Employer ko EPFO ke antargat register hona chahiye.
  • Employer tabhi utha payenge jab unka Aadhar UAAM se link hoga
  • Employer ki salary Rs. 15,000 se kam honi chahiye.

PM Rojgar Protsahan Yojana 2021 – Important documents

  • Aadhar Card
  • LIN Number
  • Ration card
  • Birth certificate
  • residence certificate
  • Passport size photograph
  • mobile number
  • income certificate

How To Fill Registration Form For PM Rojgar Protsahan Yojana?

  • Sabse pahle aapko PMRPY ke official website par jana hoga.
  • Iske Home page par “Register Online” ke link par click karna hai.
  • Aapke samne ek registratipon form khul jayega.
  • Is registration form ko aapko acche se bharna hai.
  • Ab mange gaye sabhi documents upload karne hai.
  • Aur fir last me Submit button par click karna hai.
  • Is prkar aap PMRPY me registration form bhar sakte hai.

Login Into PM Rojgar Protsahan Yojana

  • Sabse phale aapko PMRPY ke official website par jana hoga.
  • Iske Home page par “Login” ke link par click karna hai.
  • Ab ek naya page open hoga.
  • Aapko is page me LIN/PF Code & Password enter karna hai.
  • Ab aapko Sign In button par click karna hai.
  • Is prakar aap login kar sakte hai.

Iske baad aap government dwara is yojana ke tahat diye ja rahe sabhi labh utha sakte hai. Yaha hamne is PM Rojgar Protsahan Yojana ke bare me detail jankari pradan ki hai. Yadi aapke man me abhi bhi isse related koi question hai, To aap apna question hamse niche comment box me puch sakte hai.

Leave a Comment