Bihar Board Matric 1st Division Scholarship 2020-21 :- Hello friends, Yadi aap Bihar Board ke Class 10th Matric ke student hai, To aap sabhi students jante honge ki Bihar Sarkar ke taraf se sabhi Matric Pass Students ko Protsahan Rashi pradan ki jati hai. Bihar me har saal Matric mein jo bhi student pass hote hain, chahe vah 1st division , 2nd division se ho ya fir 3rd division se pass hote hain to unko Bihar sarkar ki taraf se protsahan Rashi scholarship ke dwara Diya jata hai. Aaj ham aapko isi Scholarship ke bare me puri janakri denge.
Bihar Board ke sabhi Matric pass students ke liye Government dwara scholarship pradan kiya jata hai. Yah scholarship do tarah ke hote hai, Ek state government ke dwara aur ek Central Government ke dwara state government ke dwara E Kalyan website ke dwara form fill up Kiya Jata hai tatha Central Government ke dwara NSP yani National scholarship ke dwara form fill up Kiya jata hai.
Bihar Board Matric 1st Division Scholarship
Bihar Board apne sabhi Class 10th ke students ko yah Protsahan Rashi pradan karti hai, Taki ve apni padhai jari rakh sake, Aur apne future me apne liye kuch kar sake. Bihar ke is Protsahan Rashi Yojana ke tahat do tarah ke form bhare jate hai. Ek State government ke taraf se aur Central government ke taraf se. Aap yadi Matric Exam me accha marks score karte hai, To aap in dono scholarship ka labh utha sakte hai.
Bihar Board Matric Scholarship 2020 Details
Exam Board | Bihar Board (BSEB) |
Scholarship For | Matric Pass Students |
Session | 2020-21 |
Scholarship Type | State Scholarship |
Scholarship Available For | Boys & Girls |
State Gov. Website | E Kalyan (ekalyan.bih.nic.in) |
Central Gov. Website | NSP (National Scholarship Portal) |
Types For Matric Scholarship 2020 Bihar
- Central Scholarship online form – NSP
- State Scholarship Online Form – E Kalyan
State Government Matric Scholarship Details
Bihar Sarkar apne sabhi Matric pass huye students ko scholarship pradan karti hai. Is scholarship ka labh 1st , 2nd , 3rd Division lane vale sabhi students utha sakte hai.
Bihar state matric scholarship mein matric scholarship ka form state government ke dwara Ek Kalyan ke website per fill up kiya jata hai fill up karne ka sara process is post mein ham aapko batane Wale Hain.
Check This :- बिहार 10वीं पास विद्यार्थियों को मिलेगा 25000 रु छात्रवृति, जानिए कैसे
Central Government Matric Scholarship Details
Central government bhi sabhi Matric pass huye students ko scholarship pradan karti hai, Lekin is mein sirf vahi students apply kar sakte hain Jo Matric me 1st Division se pass hue hain aur Unka list mein main Naam Aaya Hua Hai.
Yadi aap is Central government scholarship ka labh uthana chahte hai, To aap Central scholarship NSP ke site yani National scholarship portal ke website per iska online scholarship form apply kar sakte hai.
E Kalyan Bihar Matric Scholarship 2020 – Important Dates
Online Start Date | 04-12-2020 |
Registration Close Date | No Last Date |
E Kalyan Matric Scholarship 2020 Bihar – Payment Details
Yojana Name | Cast Detils | Eligible | Scholarship Payment |
---|---|---|---|
Mukhyamantri Balika protsahan Rashi | Gen / OBC | First Division Matric Pass | 10,000 Rs/- |
Mukhyamantri Vidyarthi protsahan Yojana | Gen & minority | First Division Matric Pass | 10,000 Rs/- |
Mukhymantri pichhada varg Megha vriti Yojana | BC Catogry Boys | First Division Matric Pass | 10,000 Rs/- |
Mukhymantri atyant pichhada varg Megha vriti Yojana | EBC Catogry Boys & Girls | First Division Matric Pass | 10,000 Rs/- |
Mukhymantri Sc/St Megha vriti Yojana | SC/ ST Catogry Boys & Girls | First Division Matric Pass | 10,000 Rs/- |
Mukhymantri Sc/St Megha vriti Yojana | SC/ ST Catogry Boys & Girls | Second Division Matric Pass | 8,000 Rs/- |
Bihar E Kalyan Scholarship – Required Documents
- Aadhar Card
- income certificate
- caste certificate
- 10th marksheet
- Housing certificate
- Bank account information
- mobile number
How To Fill Scholarship Form Online on e-Kalyan?
e Kalyan Scholarship Form bharne ke liye aap iske official website se sidhe form bharne ke liye niche diye gaye steps ko follow kar sakte hai :-
- Sabse pahle ekalyan.bih.nic.in par jaaen.
- Iske home page se “Students Registration” ke link par click kare.”
- Ab vaha mangi gayi sabhi jankari bhare.
- Ab vaha Log.in ID aapko mil jayegi.
- Ab e Kalyan website par log.in kare.
- Ab vaha se registration form bhare.
- Aur fir iska ek print out nikal len.
Important Links For Bihar Matric Scholarship
Online Apply | Link 1 || Link 2 || Link 3 |
Official Link | Click Here |
Aap sabhi Bihar Board ke Class 10th Matric ke students is scholarship ka labh utha sakte hai. Yaha hamne state aur central government dwar di ja rahi Scholarship ke bare me jankari pradan ki hai.
Yadi aapko abhi bhi kisi bhi Scholarship se related koi saval puchna hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puch sakte hai.