Sarkari Yojna Hindi

UP Bijli Bill Mafi Yojana 2021: एकमुश्त समाधान योजना 2021 – 100% Electricity Bill Surcharge

UP Bijli Mafi Yojana 2021 :- Uttar Pradesh government ne apne rajya ke aise logo ke liye scheme lekar aai hai, Jo bijli ka bill nahi bhar sakte hai. UP government ne bakaya bill par rahat dene ke liye “Ek must Samadhan Yojana – एकमुश्त समाधान योजना” lekar aai hai, Jo ki sabhi bill maf kar dega. Government is yojana ke madhyam se bakaya bijli bill par 100% chhut dega. Yadi aap bhi Uttar Pradesh ke nagrik hai, Aur is yojana ke bare me sampurn jankari prapt karna chahte hai, To is post ko ant tak jarur padhe.

Uttar Pradesh government dwara shuru ki gayi Ek must Samadhan Yojana ke tahat Gramin kshetra ke samast ( LMV-2 ) ( LMV-4B ) ( निजी संस्थान ) & ( LMV-6 ) ke bakayadaron ka electricity bill maf kar diya jayega. Is yojana ke tahat sirf 31 November 2020 se pahle tak ka electricity bill maf kiya jayega. Aapko is yojana ka labh uthane ke liye Online Registration karna hoga, Jiski puri jankari niche share ki gayi hai.

UP Bijli Bill Mafi Yojana 2021

Uttar Pradesh government ne एकमुश्त समाधान योजना ke madhyam se upbhoktao ke bakaya bijli bill par surcharge me 100% ke chhut ke layi gai hai. Is UP bijli bill mafi yojana ke tahat sabhi ka bijli bill maf kar di jayegi. Is yojana ka labh uthane ke liye is post me niche bataye gaye tarike ke anusar registration karvana hoga.

Uttar Pradesh ki yah yojana date 15 December 2020 se 31 January 2021 tak lagu rahegi. Sabhi bakayedar upbhokta is avadhi me apne najdiki CSC center par registration karvakar is yojana ka labh utha sakte hai. Niche hamne aap sabhi ke suvidha ke liye registration karne ki puri process share ki hai.

UP Bijli Bill Mafi Yojana 2021 Registration

Uttar Pradesh government ke is yojana ka labh uthane ke liye sabhi logo ko apne najdiki common service center par contact kar sakte hai. Is yojana ki details jankari prapt karne ke liye aap Electricity Department ke Toll Free Number 1912 par contact kar sakte hai.

Aap sabhi Uttar Pradesh ke nagrik 1912 par call karke Bijli Bill Muft Yojana ke bare me jankari prapt kar sakte hai. Aaiye ab aapko ham batate hai ki aap is yojana ke tahat kaise apna bijli bill maf karva sakte hai.

How To Pay Electricity Bill Using CSC Portal?

  • Sabse pahle aap apne najdiki CSC center jaaen.
  • Uske baad CSC login karen.
  • Iske baad home page par “Electricity Bill Service” par click kare.
  • Ab “Special Feel Service” par click karen.
  • Uske baad electricity bill company ko select karen.
  • Uske baad vah TS One Time Settlement Scheme par click karen.
  • Uske bad connection ka account number enter kare.
  • Ab apna mobile number enter kare.
  • Ab vaha se final submit par click kare.
  • Ab aap apna bijil bill bhar sakte hai.

Aap sabhi Uttar Pradesh ke nagrik is yojana ka labh simit samay tak utha sakte hai. Yaha hamne UP government dwara shuru ki gayi is yojana ke bare me jankari di hai. Yadi aapke paas abhi bhi is yojana se sambandhit koi saval hai, To aap apna saval hamse niche comment box me puch sakte hai.

Leave a Comment